Sher of Hasan Aziz
dekhūñ vo kartī hai ab ke alam-ārā.ī ki maiñ
hārtā kaun hai is jañg meñ tanhā.ī ki maiñ
dekhun wo karti hai ab ke alam-arai ki main
haarta kaun hai is jang mein tanhai ki main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bhaTak rahā huuñ maiñ is dasht-e-sañg meñ kab se
abhī talak to dar-e-ā.īna khulā na milā
bhaTak raha hun main is dasht-e-sang mein kab se
abhi talak to dar-e-aina khula na mila
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ik qissa-e-tavīl hai afsāna dasht kā
āḳhir kahīñ to ḳhatm ho vīrāna dasht kā
ek qissa-e-tawil hai afsana dasht ka
aaKHir kahin to KHatm ho virana dasht ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ TūTne detā nahīñ rañgoñ kā tasalsul
zaḳhmoñ ko harā kartā huuñ bhar jaane ke Dar se
main TuTne deta nahin rangon ka tasalsul
zaKHmon ko hara karta hun bhar jaane ke Dar se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download