Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iftikhar Haidar's Photo'

Iftikhar Haidar

1975 | Lahore, Pakistan

Iftikhar Haidar

Ghazal 21

Sher-o-Shayari 18

shaam hote tere hijr dukh

dil meñ ḳhema lagā ke baiTh gayā

sham hote hi tere hijr ka dukh

dil mein KHema laga ke baiTh gaya

  • Share this

shahr meñ thī nā-sāz tabī.at beTe

gaañv meñ baiThī maañ ne khānā chhoḌ diyā

shahr mein thi na-saz tabiat beTe ki

ganw mein baiThi man ne khana chhoD diya

  • Share this

apne lahje pe ġhaur kar ke batā

lafz kitne haiñ tiir kitne haiñ

apne lahje pe ghaur kar ke bata

lafz kitne hain tir kitne hain

  • Share this

tire baġhair guzārā nahīñ kisī sūrat

use ye baat batāne se baat bigḌī hai

tere baghair guzara nahin kisi surat

use ye baat batane se baat bigDi hai

  • Share this

tere qadmoñ meñ aa ke girnā hai

jis bulandī pe bhī uchhāl mujhe

tere qadmon mein aa ke girna hai

jis bulandi pe bhi uchhaal mujhe

  • Share this

RELATED Authors

More Authors From "Lahore"

Recitation

Speak Now