Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Izhar Asar's Photo'

Izhar Asar

1929 | Delhi, India

Sher of Izhar Asar

ek shai thī ba-andāz-e-digar māñgī thī

maiñ ne bīnā.ī nahīñ tujh se nazar māñgī thī

ek hi shai thi ba-andaz-e-digar mangi thi

main ne binai nahin tujh se nazar mangi thi

tamām maz.har-e-fitrat tire ġhazal-ḳhvāñ haiñ

ye chāñdnī bhī tire jism qasīda hai

tamam mazhar-e-fitrat tere ghazal-KHwan hain

ye chandni bhi tere jism ka qasida hai

tārīkiyoñ ke paar chamaktī hai koī shai

shāyad mire junūn-e-safar umañg hai

tarikiyon ke par chamakti hai koi shai

shayad mere junun-e-safar ki umang hai

un se milne manzar bhī dil-chasp thā ai 'asar'

is taraf se bahāreñ chalīñ aur udhar se ḳhizā.eñ chalīñ

un se milne ka manzar bhi dil-chasp tha ai 'asar'

is taraf se bahaaren chalin aur udhar se KHizaen chalin

bhī to haTā jism ke sūraj se añdhere

ye mahkī huī raat bhī mahtāb-ba-kaf hai

tu bhi to haTa jism ke suraj se andhere

ye mahki hui raat bhi mahtab-ba-kaf hai

Recitation

Speak Now