Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
Ghazal 10
Sher-o-Shayari 6
aa.e haiñ sunte ki aisā vaqt bhī aatā hai jab
ho davā yā phir duā kuchh kārgar hotā nahīñ
aae hain sunte ki aisa waqt bhi aata hai jab
ho dawa ya phir dua kuchh kargar hota nahin
-
Share this
- See Ghazal
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jaa.e bad-halī sabhī
vaqt kaaTe nā kaTe to kyā kareñ kis se kaheñ
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jae bad-hali sabhi
waqt kaTe na kaTe to kya karen kis se kahen
-
Share this
- See Ghazal
laakh chāhā ki ho pahchān koī apnī bhī
kaash ham aap ke hī naam se jaane jaate
lakh chaha ki ho pahchan koi apni bhi
kash hum aap ke hi nam se jaane jate
-
Share this
- See Ghazal
vo nahīñ āj-kal ḳhafā ham se
koī niklā hai rāsta shāyad
wo nahin aaj-kal KHafa hum se
koi nikla hai rasta shayad
-
Share this
- See Ghazal