Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Malika Naseem's Photo'

Malika Naseem

1954

Malika Naseem

Ghazal 19

Nazm 15

Sher-o-Shayari 11

kar ga.iiñ maujeñ sharārat jab bhī likkhā terā naam

ret par jitnī lakīreñ thiiñ vo sab mil-jul ga.iiñ

kar gain maujen shararat jab bhi likkha tera nam

ret par jitni lakiren thin wo sab mil-jul gain

  • Share this

ḳhvāb Thahre the to āñkheñ bhīgne se bach ga.iiñ

varna chehre par to ġham bārishoñ aks hai

KHwab Thahre the to aankhen bhigne se bach gain

warna chehre par to gham ki barishon ka aks hai

  • Share this

nazar meñ yādoñ ke manzar sameT kar rakhnā

maiñ jaisā chhoḌ ke aa.ī huuñ vaisā ghar rakhnā

nazar mein yaadon ke manzar sameT kar rakhna

main jaisa chhoD ke aai hun waisa ghar rakhna

shiddat-e-tishna-labī aaj kahāñ laa.ī hai

pyaas sahrā samundar meñ utar aa.ī hai

shiddat-e-tishna-labi aaj kahan lai hai

pyas sahra ki samundar mein utar aai hai

  • Share this

vo laḌkiyāñ ki jo lagtī thiiñ saada tahrīreñ

paḌhī ga.iiñ to anokhī paheliyāñ niklīñ

wo laDkiyan ki jo lagti thin sada tahriren

paDhi gain to anokhi paheliyan niklin

  • Share this

Qita 1

 

BOOKS 4

 

Audios 3

Agar chahun jhatak kar tod dun zanjeer e tanhai

Hawa ke dosh pe kiske payam aate hein

Sulagti sham ki dehleez par jalta diya rakhna

Recitation

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now