Sher of Malika Naseem
ḳhvāb Thahre the to āñkheñ bhīgne se bach ga.iiñ
varna chehre par to ġham kī bārishoñ kā aks hai
KHwab Thahre the to aankhen bhigne se bach gain
warna chehre par to gham ki barishon ka aks hai
maiñ kisī aur ko dekhūñ bhī to dekhūñ kaise
us ke ḳhvāboñ kī in āñkhoñ pe nigahbānī hai
main kisi aur ko dekhun bhi to dekhun kaise
us ke KHwabon ki in aankhon pe nigahbani hai
vo laḌkiyāñ ki jo lagtī thiiñ saada tahrīreñ
paḌhī ga.iiñ to anokhī paheliyāñ niklīñ
wo laDkiyan ki jo lagti thin sada tahriren
paDhi gain to anokhi paheliyan niklin
umr guzrī ik nigāh-e-lutf kī ummīd meñ
ham ko apne hausloñ kī ye adā achchhī lagī
umr guzri ek nigah-e-lutf ki ummid mein
hum ko apne hauslon ki ye ada achchhi lagi
na paḌh le koī tahrīreñ tumhāre zard chehre kī
dar-o-dīvār ghar ke shoḳh rangoñ se sajā rakhnā
na paDh le koi tahriren tumhaare zard chehre ki
dar-o-diwar ghar ke shoKH rangon se saja rakhna
har daur kā jo aks hai vo aa.ina haiñ ham
taḳhlīq-e-kā.enāt kā ik silsila haiñ ham
har daur ka jo aks hai wo aaina hain hum
taKHliq-e-kaenat ka ek silsila hain hum
shiddat-e-tishna-labī aaj kahāñ laa.ī hai
pyaas sahrā kī samundar meñ utar aa.ī hai
shiddat-e-tishna-labi aaj kahan lai hai
pyas sahra ki samundar mein utar aai hai
nazar meñ yādoñ ke manzar sameT kar rakhnā
maiñ jaisā chhoḌ ke aa.ī huuñ vaisā ghar rakhnā
nazar mein yaadon ke manzar sameT kar rakhna
main jaisa chhoD ke aai hun waisa ghar rakhna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kar ga.iiñ maujeñ sharārat jab bhī likkhā terā naam
ret par jitnī lakīreñ thiiñ vo sab mil-jul ga.iiñ
kar gain maujen shararat jab bhi likkha tera nam
ret par jitni lakiren thin wo sab mil-jul gain
ham ne ye soch ke chheḌā thā fasāna gul kā
is bahāne hī tire zikr kā pahlū nikle
hum ne ye soch ke chheDa tha fasana gul ka
is bahane hi tere zikr ka pahlu nikle
havā.eñ kartī haiñ sargoshiyāñ sī āñgan meñ
na jaane ā.eñge kis ke qadam charāġh jale
hawaen karti hain sargoshiyan si aangan mein
na jaane aaenge kis ke qadam charagh jale