ALL
Profile
Ghazal343
Nazm2
Sher246
E-book151
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari31
Audio47
Video46
Marsiya34
Qita27
Rubai104
Blog8
Other
Kulliyat1895
Qasida8
Naat1
Salam7
Manqabat15
Mukhammas4
Rubai Mustazaad1
Khud-Navisht Savaneh5
Masnavi37
Waasokht4
Tazmin4
Tarkib Band2
Meer Taqi Meer
Ghazal 343
Nazm 2
Sher-o-Shayari 246
rāh-e-dūr-e-ishq meñ rotā hai kyā
aage aage dekhiye hotā hai kyā
rah-e-dur-e-ishq mein rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
-
Share this
- See Ghazal
pattā pattā buuTā buuTā haal hamārā jaane hai
jaane na jaane gul hī na jaane baaġh to saarā jaane hai
only the flower's unaware, rest of the garden knows
my state,each leaf and every bud that in the garden grows
patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane bagh to sara jaane hai
only the flower's unaware, rest of the garden knows
my state,each leaf and every bud that in the garden grows
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
ham hue tum hue ki 'mīr' hue
us kī zulfoñ ke sab asiir hue
whether me or you, or miir it may be
are prisoners of her tresses for eternity
hum hue tum hue ki 'mir' hue
us ki zulfon ke sab asir hue
whether me or you, or miir it may be
are prisoners of her tresses for eternity
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
nāzukī us ke lab kī kyā kahiye
pañkhuḌī ik gulāb kī sī hai
nazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhuDi ek gulab ki si hai
-
Share this
- See Ghazal
Marsiya 34
Qita 27
Rubai 104
Kulliyat 1895
BOOKS 151
Image Shayari 31
jin ke liye apne to yuu.n jaan nikalte hai.n is raah me.n ve jaise anjaan nikalte hai.n kyaa tiir-e-sitam us ke siine me.n bhii TuuTe the jis zaKHm ko chiiruu.n huu.n paikaan nikalte hai.n mat sahl hame.n jaano phirtaa hai falak barso.n tab KHaak ke parde se insaan nikalte hai.n kis kaa hai qimaash aisaa guuda.D bhare hai.n saare dekho na jo logo.n ke diivaan nikalte hai.n gah lohuu Tapaktaa hai gah laKHt-e-dil aa.nkho.n se yaa Tuk.De jigar hii ke har aan nikalte hai.n kariye to gila kis se jaisii thii hame.n KHvaahish ab vaise hii ye apne armaan nikalte hai.n jaagah se bhii jaate ho mu.nh se bhii KHashin ho kar ve harf nahii.n hai.n jo shaayaan nikalte hai.n so kaahe ko apnii tuu jogii kii sii pherii hai barso.n me.n kabhuu iidhar ham aan nikalte hai.n un aa.iina-ruuyo.n ke kyaa 'miir' bhii aashiq hai.n jab ghar se nikalte hai.n hairaan nikalte hai.n
kuchh karo fikr mujh divaane kii dhuum hai phir bahaar aane kii dil kaa us kunj-e-lab se de hai nishaa.n baat lagtii to hai Thikaane kii vo jo phirtaa hai mujh se duur hii duur hai ye taqriib jii ke jaane kii tez yuu.n hii na thii shab aatish-e-shauq thii KHabar garm us ke aane kii KHizr us KHatt-e-sabz par to mu.aa dhun hai ab apne zahr khaane kii dil-e-sad-chaak baab-e-zulf hai lek baav sii ba.ndh rahii hai shaane kii kisuu kam-zarf ne lagaa.ii aah tujh se mai-KHaane ke jalaane kii varna ai shaiKH-e-shahr vaajib thii jaam-daarii sharaab-KHaane kii jo hai so paa.emaal-e-Gam hai 'miir' chaal be-Dol hai zamaane kii