Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mehr Zarreen's Photo'

Mehr Zarreen

1933 - 2014 | Indore, India

Sher of Mehr Zarreen

bastī meñ bhī kuchh aise añdhere haiñ jahāñ par

jhulse hue jismoñ shabistān haiñ saḌkeñ

basti mein bhi kuchh aise andhere hain jahan par

jhulse hue jismon ka shabistan hain saDken

ye arsh se aanā to āġhāz-e-mohabbat thā

ab farsh pe aa.e haiñ anjām se kheleñge

ye arsh se aana to aaghaz-e-mohabbat tha

ab farsh pe aae hain anjam se khelenge

aap jo chashm-tar ho ga.e

saare ġham mo'atabar ho ga.e

aap jo chashm-tar ho gae

sare gham mo'atabar ho gae

fanā ke hosh fanā haiñ hamārī vahshat se

vo hoñge aur ki jin par fanā zor chale

fana ke hosh fana hain hamari wahshat se

wo honge aur ki jin par fana ka zor chale

maqām-e-ādmī kuchh kam nahīñ hai

farishtoñ se to kam aadam nahīñ hai

maqam-e-admi kuchh kam nahin hai

farishton se to kam aadam nahin hai

dil meñ mirī vahshat ne par jitne nikāle the

maiñ ne unheñ bal de kar zanjīr banā.ī hai

dil mein meri wahshat ne par jitne nikale the

main ne unhen bal de kar zanjir banai hai

raushan hai daraḳhshāñ hai har ashk ġharīboñ

bas in badaulat har ghar meñ divālī hai

raushan hai daraKHshan hai har ashk gharibon ka

bas in ki badaulat hi har ghar mein diwali hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now