maqam-e-admi kuchh kam nahin hai
maqām-e-ādmī kuchh kam nahīñ hai
farishtoñ se to kam aadam nahīñ hai
abhī dil jal rahā hai aa bhī jaao
ujālā chāñd se maddham nahīñ hai
hamārī zaat par uñglī uThā.e
zamāne meñ abhī vo dam nahīñ hai
uḌātā hai havā meñ kyoñ divāne
ye dāman hai koī parcham nahīñ hai
tirī marzī hai saaqī jis qadar de
hameñ to fikr-e-besh-o-kam nahīñ hai
butoñ kī bandagī meñ kaun jaane
kahāñ hai ḳham kahāñ sar ḳham nahīñ hai
unheñ gar naaz hai apnī pahuñch par
to merī bhī rasā.ī kam nahīñ hai
koī kyoñ ġham-gusār 'mehr' hogā
zamāna monis-o-hamdam nahīñ hai
maqam-e-admi kuchh kam nahin hai
farishton se to kam aadam nahin hai
abhi dil jal raha hai aa bhi jao
ujala chand se maddham nahin hai
hamari zat par ungli uThae
zamane mein abhi wo dam nahin hai
uData hai hawa mein kyon diwane
ye daman hai koi parcham nahin hai
teri marzi hai saqi jis qadar de
hamein to fikr-e-besh-o-kam nahin hai
buton ki bandagi mein kaun jaane
kahan hai KHam kahan sar KHam nahin hai
unhen gar naz hai apni pahunch par
to meri bhi rasai kam nahin hai
koi kyon gham-gusar 'mehr' hoga
zamana monis-o-hamdam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.