Sher of Mirza Ali Lutf
idhar se jitnī yagāngat kī udhar se utnī huī judā.ī
baḌhā.ī thoḌī sī jab idhar se bahut sī tum ne udhar ghaTā.ī
idhar se jitni yagangat ki udhar se utni hui judai
baDhai thoDi si jab idhar se bahut si tum ne udhar ghaTai
yaad ne un tañg kūchoñ kī fazā sahrā kī dekh
har qadam par jaan maarī hai dil-e-nākām kī
yaad ne un tang kuchon ki faza sahra ki dekh
har qadam par jaan mari hai dil-e-nakaam ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
huā āvāra hindostāñ se 'lutf' aage ḳhudā jaane
deccan ke sāñvloñ ne maarā yā inglan ke goroñ ne
hua aawara hindostan se 'lutf' aage KHuda jaane
deccan ke sanwlon ne mara ya inglan ke goron ne
ham aur farhād bahr-e-ishq meñ bāham hī kuude the
jo us ke sar se guzrā aab merī tā-kamar aayā
hum aur farhad bahr-e-ishq mein baham hi kude the
jo us ke sar se guzra aab meri ta-kamar aaya
aaj kyā jaane vo kyuuñ ārām-e-jāñ aayā nahīñ
harf-e-ranjish kal to koī darmiyāñ aayā nahīñ
aaj kya jaane wo kyun aaram-e-jaan aaya nahin
harf-e-ranjish kal to koi darmiyan aaya nahin
baiTh kar masjid meñ rindoñ se na itnā bigaḌiye
shaiḳh-jī aate ho maiḳhāne ke bhī akasr taraf
baiTh kar masjid mein rindon se na itna bigaDiye
shaiKH-ji aate ho maiKHane ke bhi akasr taraf
khul gayā ab ye ki vasl us kā ḳhayāl-e-ḳhām hai
aaj ummīdoñ kā dil hī dil meñ qatl-e-ām hai
khul gaya ab ye ki wasl us ka KHayal-e-KHam hai
aaj ummidon ka dil hi dil mein qatl-e-am hai
na kar ai 'lutf' nāhaq rahravān-e-dair se hujjat
yahī rasta to khā kar pher hai ka.abe ko jā niklā
na kar ai 'lutf' nahaq rahrawan-e-dair se hujjat
yahi rasta to kha kar pher hai kabe ko ja nikla
nahīñ vo ham ki kahne se tire har but ke bande hoñ
kare paidā bhī gar nāseh tū us ġhārat-gar-e-dīñ sā
nahin wo hum ki kahne se tere har but ke bande hon
kare paida bhi gar naseh tu us ghaarat-gar-e-din sa
der tak zabt-e-suḳhan kal us meñ aur ham meñ rahā
bol uThe ghabrā ke jab āḳhir ke ta.iiñ dam ruk ga.e
der tak zabt-e-suKHan kal us mein aur hum mein raha
bol uThe ghabra ke jab aaKHir ke tain dam ruk gae
kyā sabab batlā.eñ hañste hañste bāham ruk ga.e
ḳhud-baḳhud kuchh vo khīñche īdhar udhar ham ruk ga.e
kya sabab batlaen hanste hanste baham ruk gae
KHud-baKHud kuchh wo khinche idhar udhar hum ruk gae
pākī-e-dāmān-e-gul kī khā na ai bulbul qasam
raat bhar sarshār-e-kaifiyyat maiñ shabnam se rahā
paki-e-daman-e-gul ki kha na ai bulbul qasam
raat bhar sarshaar-e-kaifiyyat main shabnam se raha
kis ko bahlāte ho shīshe kā gulū TuuT gayā
ḳhum mire muñh se lagā do jo subū TuuT gayā
kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuT gaya
KHum mere munh se laga do jo subu TuT gaya
yahī to kufr hai yārān-e-be-ḳhudī ke huzūr
jo kufr-o-dīñ kā mire yaar imtiyāz rahā
yahi to kufr hai yaran-e-be-KHudi ke huzur
jo kufr-o-din ka mere yar imtiyaz raha
begānoñ ne kabhī na vo kānoñ sunā.ī baat
afsos āshnā ne jo āñkhoñ dikhā.ī baat
beganon ne kabhi na wo kanon sunai baat
afsos aashna ne jo aankhon dikhai baat