Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mustafa Rahi's Photo'

Mustafa Rahi

1931 - 1986 | Rawalpindi, Pakistan

Sher of Mustafa Rahi

184
Favorite

SORT BY

dekhiye kab tak yahī hālat yahī aalam rahe

dil har dhaḌkan ye kahtī hai ki vo aane ko haiñ

dekhiye kab tak yahi haalat yahi aalam rahe

dil ki har dhaDkan ye kahti hai ki wo aane ko hain

dil dhaḌaktā hai sitāroñ yahāñ

uf ye duniyā kis qadar tārīk hai

dil dhaDakta hai sitaron ka yahan

uf ye duniya kis qadar tarik hai

allāh tere haath hai ḳhuddāriyoñ laaj

dānista hādsāt se Takrā gayā huuñ maiñ

allah tere hath hai KHuddariyon ki laj

danista hadsat se Takra gaya hun main

ādamiyyat zikr kyā nāseh

aadmī ab kahāñ haiñ saa.e haiñ

aadamiyyat ka zikr kya naseh

aadmi ab kahan hain sae hain

ḳhvāhish sukūn hai na ab iztirāb

allāh re zideñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb

KHwahish sukun ki hai na ab iztirab ki

allah re ziden dil-e-KHana-KHarab ki

kyā ḳhabar thī is qadar pur-kaif naġhme haiñ nihāñ

zindagī ko ek sāz-e-be-sadā samjhā thā maiñ

kya KHabar thi is qadar pur-kaif naghme hain nihan

zindagi ko ek saz-e-be-sada samjha tha main

shāyad raas aa.e mujhe aish-e-marg bhī

'rāhī' ġham-e-hayāt maarā huā huuñ maiñ

shayad hi ras aae mujhe aish-e-marg bhi

'rahi' gham-e-hayat ka mara hua hun main

na samjhā koī asrār-e-mohabbat

jo samjhā kuchh dil-e-nādān samjhā

na samjha koi asrar-e-mohabbat

jo samjha kuchh dil-e-nadan samjha

be-ḳhudī meñ shān-e-ḳhuddārī bhī hai

ḳhvāb meñ ehsās-e-bedārī bhī hai

be-KHudi mein shan-e-KHuddari bhi hai

KHwab mein ehsas-e-bedari bhi hai

ai dil na kar qubūl mire dil na kar qubūl

manzil shikast-e-shauq hai manzil na kar qubūl

ai dil na kar qubul mere dil na kar qubul

manzil shikast-e-shauq hai manzil na kar qubul

vo bhī aane ko haiñ qayāmat bhī

dekhiye kaun peshtar aa.e

wo bhi aane ko hain qayamat bhi

dekhiye kaun peshtar aae

laakh bhāge zad pe jab aa jā.egī

zindagī terī qazā khā jā.egī

lakh bhage zad pe jab aa jaegi

zindagi teri qaza kha jaegi

ḳhuddāriyoñ pe ishq ilzām aa gayā

kyuuñ be-ḳhudī meñ lab pe tirā naam aa gayā

KHuddariyon pe ishq ki ilzam aa gaya

kyun be-KHudi mein lab pe tera nam aa gaya

dhokā thā jis pe mauj-e-nasīm-e-bahār

ik sail-e-be-panāh thā barq-o-sharār

dhoka tha jis pe mauj-e-nasim-e-bahaar ka

ek sail-e-be-panah tha barq-o-sharar ka

Recitation

Speak Now