Sher of Naji Shakir
na sair-e-bāġh na milnā na mīThī bāteñ haiñ
ye din bahār ke ai jaan muft jaate haiñ
na sair-e-bagh na milna na miThi baaten hain
ye din bahaar ke ai jaan muft jate hain
us ke ruḳhsār dekh jiitā huuñ
aarzī merī zindagānī hai
us ke ruKHsar dekh jita hun
aarzi meri zindagani hai
-
Tag : Rukhsar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zulf kyuuñ kholte ho din ko sanam
mukh dikhāyā hai to na raat karo
zulf kyun kholte ho din ko sanam
mukh dikhaya hai to na raat karo
buland āvāz se ghaḌiyāl kahtā hai ki ai ġhāfil
kaTī ye bhī ghaḌī tujh umr se aur tū nahīñ chetā
buland aawaz se ghaDiyal kahta hai ki ai ghafil
kaTi ye bhi ghaDi tujh umr se aur tu nahin cheta
sivā.e gul ke vo shoḳh añkhiyāñ kisī taraf ko nahīñ haiñ rāġhib
to barg-e-nargis upar bajā hai likhūñ jo apne sajan kuuñ patiyāñ
siwae gul ke wo shoKH ankhiyan kisi taraf ko nahin hain raghib
to barg-e-nargis upar baja hai likhun jo apne sajan kun patiyan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download