Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nisar Jairajpuri's Photo'

Nisar Jairajpuri

1946 | Azamgarh, India

Dohe of Nisar Jairajpuri

sone se kartā phire hai us mol

kyā jaane bāvare maaTī hai anmol

sone se karta phire hai tu us ka mol

tu kya jaane baware maTi hai anmol

jaate jaate ye samay yādeñ kuchh de jaa.e

pinjre se mainā uḌī parchhā.īñ rah jaa.e

jate jate ye samay yaaden kuchh de jae

pinjre se maina uDi parchhain rah jae

tanhā bachā sakegā kaise khātā phire thapeḌ

ro.e baiThā moḌ par bargad ek peḌ

tanha bacha sakega kaise khata phire thapeD

roe baiTha moD par bargad ka ek peD

rain baserā aaj yaañ kal hogā kis or

kuchh tujh ko ma.alūm hai aane vaale bhor

rain basera aaj yan kal hoga kis or

kuchh tujh ko malum hai aane wale bhor

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now