Nusrat Mehdi
Ghazal 28
Nazm 2
Sher-o-Shayari 4
ājizī aaj hai mumkin hai na ho kal mujh meñ
is tarah aib nikālo na musalsal mujh meñ
aajizi aaj hai mumkin hai na ho kal mujh mein
is tarah aib nikalo na musalsal mujh mein
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
fazā ye amn-o-amāñ kī sadā rakheñ qaa.em
suno ye farz tumhārā bhī hai hamārā bhī
faza ye amn-o-aman ki sada rakhen qaem
suno ye farz tumhaara bhi hai hamara bhi
- Add to favorites
-
Share this
aaj is andāz se tum ne mujhe āvāz dī
yak-ba-yak mujh meñ ḳhayāl aaya ki haañ maiñ bhī to huuñ
aaj is andaz se tum ne mujhe aawaz di
yak-ba-yak mujh mein KHayal aaya ki han main bhi to hun
- Add to favorites
-
Share this
aap shāyad bhuul baiThe haiñ yahāñ maiñ bhī to huuñ
is zamīñ aur āsmāñ ke darmiyāñ maiñ bhī to huuñ
aap shayad bhul baiThe hain yahan main bhi to hun
is zamin aur aasman ke darmiyan main bhi to hun
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal