Sher of Obaidur Rahman
nazar meñ duur talak rahguzar zarūrī hai
kisī bhī samt ho lekin safar zarūrī hai
nazar mein dur talak rahguzar zaruri hai
kisi bhi samt ho lekin safar zaruri hai
ta.amīr-o-taraqqī vaale haiñ kahiye bhī to un ko kyā kahiye
jo shīsh-mahal meñ baiThe hue mazdūr kī bāteñ karte haiñ
tamir-o-taraqqi wale hain kahiye bhi to un ko kya kahiye
jo shish-mahal mein baiThe hue mazdur ki baaten karte hain
-
Tag : Mazdoor
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnī hī zaat ke mahbas meñ samāne se uThā
dard ehsās kā siine meñ dabāne se uThā
apni hi zat ke mahbas mein samane se uTha
dard ehsas ka sine mein dabane se uTha
āñgan āñgan ḳhuun ke chhīñTe chehra chehra be-chehra
kis kis ghar kā zikr karūñ meñ kis kis ke sadmāt likhūñ
aangan aangan KHun ke chhinTe chehra chehra be-chehra
kis kis ghar ka zikr karun mein kis kis ke sadmat likhun
bachchoñ ko ham na ek khilaunā bhī de sake
ġham aur baḌh gayā hai jo tyauhār aa.e haiñ
bachchon ko hum na ek khilauna bhi de sake
gham aur baDh gaya hai jo tyauhaar aae hain
jab dhuup sar pe thī to akelā thā meñ 'obaid'
ab chhāñv aa ga.ī hai to sab yaar aa.e haiñ
jab dhup sar pe thi to akela tha mein 'obaid'
ab chhanw aa gai hai to sab yar aae hain
yahī ik sāneha kuchh kam nahīñ hai
hamārā ġham tumhārā ġham nahīñ hai
yahi ek saneha kuchh kam nahin hai
hamara gham tumhaara gham nahin hai
shoḳhī kisī meñ hai na sharārat hai ab 'obaid'
bachche hamāre daur ke sanjīda ho ga.e
shoKHi kisi mein hai na shararat hai ab 'obaid'
bachche hamare daur ke sanjida ho gae
koī dimāġh se koī sharīr se haarā
meñ apne haath kī andhī lakīr se haarā
koi dimagh se koi sharir se haara
mein apne hath ki andhi lakir se haara
sohbat meñ jāhiloñ kī guzāre the chand roz
phir ye huā maiñ vāqif-e-ādāb ho gayā
sohbat mein jahilon ki guzare the chand roz
phir ye hua main waqif-e-adab ho gaya
mere jazbāt āñsuoñ vaale
sher sab hichkiyoñ se likhtā huuñ
mere jazbaat aansuon wale
sher sab hichkiyon se likhta hun
hameñ hijrat samajh meñ itnī aa.ī
parinda āb-o-dāna chāhtā hai
hamein hijrat samajh mein itni aai
parinda aab-o-dana chahta hai
TūTtā rahtā hai mujh meñ ḳhud mirā apnā vajūd
mere andar koī mujh se barsar-e-paikār hai
TuTta rahta hai mujh mein KHud mera apna wajud
mere andar koi mujh se barsar-e-paikar hai
jahāñ pahuñchne kī ḳhvāhish meñ umr biit ga.ī
vahīñ pahuñch ke hayāt ik ḳhayāl-e-ḳhām huī
jahan pahunchne ki KHwahish mein umr bit gai
wahin pahunch ke hayat ek KHayal-e-KHam hui
ghaTtī baḌhtī rahī parchhā.īñ mirī ḳhud mujh se
laakh chāhā ki mire qad ke barābar utre
ghaTti baDhti rahi parchhain meri KHud mujh se
lakh chaha ki mere qad ke barabar utre
dikhāo sūrat-e-tāza bayān se pahle
kahānī aur hai kuchh dāstān se pahle
dikhao surat-e-taza bayan se pahle
kahani aur hai kuchh dastan se pahle
hameñ to ḳhvāb kā ik shahr āñkhoñ meñ basānā thā
aur is ke ba.ad mar jaane kā sapnā dekh lenā thā
hamein to KHwab ka ek shahr aankhon mein basana tha
aur is ke baad mar jaane ka sapna dekh lena tha
talāshe jā rahe haiñ ahd-e-rafta
zamīnoñ kī khudā.ī ho rahī hai
talashe ja rahe hain ahd-e-rafta
zaminon ki khudai ho rahi hai