Sabir Adeeb
Ghazal 4
Sher-o-Shayari 3
maiñ akelā huuñ tū bhī tanhā hai
ham bhī kitne haiñ be-sahāre dekh
main akela hun tu bhi tanha hai
hum bhi kitne hain be-sahaare dekh
-
Share this
- See Ghazal
is qadar ūñchī huī dīvār-e-nafrat har taraf
aaj har insāñ se insāñ kī pazīrā.ī ga.ī
is qadar unchi hui diwar-e-nafrat har taraf
aaj har insan se insan ki pazirai gai
-
Share this
- See Ghazal
tilism TuuT gayā shab kā maiñ bhī ghar ko chalūñ
rukā thā jis ke liye vo bhī ghar gayā kab kā
tilism TuT gaya shab ka main bhi ghar ko chalun
ruka tha jis ke liye wo bhi ghar gaya kab ka
-
Share this
- See Ghazal