Sher of Safdar Mirzapuri
ghar to kyā ghar kā nishāñ bhī nahīñ baaqī 'safdar'
ab vatan meñ kabhī jā.eñge to mehmāñ hoñge
ghar to kya ghar ka nishan bhi nahin baqi 'safdar'
ab watan mein kabhi jaenge to mehman honge
qismatoñ se milā hai dard hameñ
kahīñ ārām-e-dil na ho jaa.e
qismaton se mila hai dard hamein
kahin aaram-e-dil na ho jae
ik nigāh-e-ġhalat-andāz sahī
dil kī āḳhir koī qīmat hogī
ek nigah-e-ghalat-andaz sahi
dil ki aaKHir koi qimat hogi
jaur-e-aflāk kī shirkat kī zarūrat kyā hai
aap kaafī haiñ zamāne ko satāne ke liye
jaur-e-aflak ki shirkat ki zarurat kya hai
aap kafi hain zamane ko satane ke liye
qīmat-e-jins-e-vafā nīm-nigāhī tauba
aisī bāteñ na kareñ aap ki saudā na bane
qimat-e-jins-e-wafa nim-nigahi tauba
aisi baaten na karen aap ki sauda na bane
zarā vo ḳhaak meñ milne na de ḳhūn-e-shahīdāñ ko
ḳhudā taufīq de itnī zamīn-e-kū-e-jānāñ ko
zara wo KHak mein milne na de KHun-e-shahidan ko
KHuda taufiq de itni zamin-e-ku-e-jaanan ko
-
Tag : Shaheed
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download