Sagheer Malal
Ghazal 19
Sher-o-Shayari 16
hai ek umr se ḳhvāhish ki duur jā ke kahīñ
maiñ ḳhud ko ajnabī logoñ ke darmiyāñ dekhūñ
hai ek umr se KHwahish ki dur ja ke kahin
main KHud ko ajnabi logon ke darmiyan dekhun
-
Share this
- See Ghazal
mere baare meñ jo sunā tū ne
merī bātoñ kā ek hissa hai
mere bare mein jo suna tu ne
meri baaton ka ek hissa hai
-
Share this
- See Ghazal
sab savāloñ ke javāb ek se ho sakte haiñ
ho to sakte haiñ magar aisā kahāñ hotā hai
sab sawalon ke jawab ek se ho sakte hain
ho to sakte hain magar aisa kahan hota hai
-
Share this
- See Ghazal
un se bachnā ki bichhāte haiñ panāheñ pahle
phir yahī log kahīñ kā nahīñ rahne dete
un se bachna ki bichhate hain panahen pahle
phir yahi log kahin ka nahin rahne dete
-
Share this
- See Ghazal
zamāne bhar se ulajhte haiñ jis kī jānib se
akele-pan meñ use ham bhī kyā nahīñ kahte
zamane bhar se ulajhte hain jis ki jaanib se
akele-pan mein use hum bhi kya nahin kahte
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
jis ko tai kar na sake aadmii sahraa hai vahii aur aaKHir mire raste me.n bhii aayaa hai vahii ye alag baat ki ham raat ko hii dekh sake.n varna din ko bhii sitaaro.n kaa tamaashaa hai vahii apne mausam me.n pasand aayaa hai ko.ii chehraa varna mausam to badalte rahe chehraa hai vahii ek lamhe me.n zamaana hu.aa taKHliiq 'malaal' vahii lamha hai yahaa.n aur zamaana hai vahii