Dohe of Shahid Meer
jīvan jiinā kaThin hai vish piinā āsān
insāñ ban kar dekh lo o 'shañkar' bhagvān
jiwan jina kaThin hai wish pina aasan
insan ban kar dekh lo o 'shankar' bhagwan
har ik shai be-mel thī kaise bantī baat
āñkhoñ se sapne baḌe niiñd se lambī raat
har ek shai be-mel thi kaise banti baat
aankhon se sapne baDe nind se lambi raat
zehn meñ tū āñkhoñ meñ tū dil meñ tirā vajūd
merā to bas naam hai har jā tū maujūd
zehn mein tu aankhon mein tu dil mein tera wajud
mera to bas nam hai har ja tu maujud
kāġhaz par likh dījiye apne saare bhed
dil meñ rahe to aañch se ho jā.eñge chhed
kaghaz par likh dijiye apne sare bhed
dil mein rahe to aanch se ho jaenge chhed
āñgan hai jal-thal bahut dīvāroñ par ghaas
ghar ke andar bhī milā 'shāhid' ko banvās
aangan hai jal-thal bahut diwaron par ghas
ghar ke andar bhi mila 'shahid' ko banwas
ta.atīleñ ruḳhsat huiiñ khule sabhī schōl
saḌkoñ par khilne lage pyāre pyāre phuul
tatilen ruKHsat huin khule sabhi school
saDkon par khilne lage pyare pyare phul
'shāhid' likhnā hai mujhe ye kis kī tārīf
Darā Darā sā qāfiya sahmī huī radīf
'shahid' likhna hai mujhe ye kis ki tarif
Dara Dara sa qafiya sahmi hui radif
shab guzrī bujhne lagā raushniyoñ kā shahr
lauTī sāhil kī taraf thakī thakī ik lahr
shab guzri bujhne laga raushniyon ka shahr
lauTi sahil ki taraf thaki thaki ek lahr
dard hai daulat kī tarah ġham Thahrā jāgīr
apnī is jāgīr meñ ḳhush haiñ 'shāhid-mīr'
dard hai daulat ki tarah gham Thahra jagir
apni is jagir mein KHush hain 'shahid-mir'
raas aa.ī kuchh is tarah shabdoñ kī jāgīr
'shāhid' pīchhe rah ga.e aage baḌh ga.e 'mīr'
ras aai kuchh is tarah shabdon ki jagir
'shahid' pichhe rah gae aage baDh gae 'mir'