Sher of Shauq Asar Rampuri
shagufta phuul jo dekhe to 'shauq' yaad aayā
diye the daaġh bhī gulshan ne be-shumār mujhe
shagufta phul jo dekhe to 'shauq' yaad aaya
diye the dagh bhi gulshan ne be-shumar mujhe
batā nasīb-e-nasheman maiñ kyā duā māñgūñ
jo āsmāñ kī taraf raushnī nazar aa.e
bata nasib-e-nasheman main kya dua mangun
jo aasman ki taraf raushni nazar aae
aaj tak dair-o-haram meñ teġh hī chaltī rahī
laakh ham-rindoñ ne chāhā shīsha-o-sāġhar chaleñ
aaj tak dair-o-haram mein tegh hi chalti rahi
lakh ham-rindon ne chaha shisha-o-saghar chalen
mire ḳhayāl kī vus.at meñ haiñ hazār chaman
kahāñ kahāñ se nikālegī ye bahār mujhe
mere KHayal ki wusat mein hain hazar chaman
kahan kahan se nikalegi ye bahaar mujhe
abhī farq hai aadmī aadmī meñ
abhī duur hai aadmī aadmī se
abhi farq hai aadmi aadmi mein
abhi dur hai aadmi aadmi se
mātam-e-marg-e-tamannā na samajh ai nādāñ
zindagī bol rahī hai mire afsāne meñ
matam-e-marg-e-tamanna na samajh ai nadan
zindagi bol rahi hai mere afsane mein
vo ġham ho yā alam ho dard ho yā ālam-e-vahshat
use apnā samajh ai zindagī jo tere kaam aa.e
wo gham ho ya alam ho dard ho ya aalam-e-wahshat
use apna samajh ai zindagi jo tere kaam aae