Sirajuddin Zafar
Ghazal 24
Sher-o-Shayari 4
ai dost is zamān-o-makāñ ke azaab meñ
dushman hai jo kisī ko duā-e-hayāt de
ai dost is zaman-o-makan ke azab mein
dushman hai jo kisi ko dua-e-hayat de
-
Share this
- See Ghazal
hujūm-e-gul meñ rahe ham hazār dast darāz
sabā-nafas the kisī par girāñ nahīñ guzre
hujum-e-gul mein rahe hum hazar dast daraaz
saba-nafas the kisi par giran nahin guzre
-
Share this
- See Ghazal
numūd un kī bhī daur-e-subū meñ thī kal raat
abhī jo daur-e-tah-e-āsmāñ nahīñ guzre
numud un ki bhi daur-e-subu mein thi kal raat
abhi jo daur-e-tah-e-asman nahin guzre
-
Share this
- See Ghazal
vo tamāshā huuñ hazāroñ mire ā.īne haiñ
ek ā.īne se mushkil hai ayaañ ho jā.ūñ
wo tamasha hun hazaron mere aaine hain
ek aaine se mushkil hai ayan ho jaun
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
shauq raato.n ko hai darpai ki tapaa.n ho jaa.uu.n raqs-e-vahshat me.n uThuu.n aur dhu.aa.n ho jaa.uu.n saath agar baad-e-sahar de to pas-e-mahmil-e-yaar ik bhaTaktii hu.ii aavaaz-e-fuGaa.n ho jaa.uu.n ab ye ehsaas kaa aalam hai ki shaayad kisii raat nafas-e-sard se bhii sho.ala-ba-jaa.n ho jaa.uu.n laa suraahii ki karuu.n vahm-o-gumaa.n Garq-e-sharaab is se pahle ki mai.n KHud vahm-o-gumaa.n ho jaa.uu.n vo tamaashaa huu.n hazaaro.n mire aa.iine hai.n ek aa.iine se mushkil hai ayaa.n ho jaa.uu.n shauq me.n zabt hai malhuuz magar kyaa ma.aluum kis gha.Dii be-KHabar-e-suud-o-ziyaa.n ho jaa.uu.n aisaa andaaz-e-Gazal ho ki zamaane me.n 'zafar' daur-e-aa.inda kii qadro.n kaa nishaa.n ho jaa.uu.n