Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Syed Ehtisham Husain's Photo'

Syed Ehtisham Husain

1912 - 1972 | Allahabad, India

One of the most prominent literary critics associated with Progressive Movement.

One of the most prominent literary critics associated with Progressive Movement.

Sher of Syed Ehtisham Husain

terā ho ke jo rah jā.ūñ to phir kyā hogā

ai junūñ aur haiñ duniyā meñ bahut kaam mujhe

tera hi ho ke jo rah jaun to phir kya hoga

ai junun aur hain duniya mein bahut kaam mujhe

dil ne chupke se kahā koshish-e-nākām ke baad

zahr dard-e-mohabbat davā ho jaise

dil ne chupke se kaha koshish-e-nakaam ke baad

zahr hi dard-e-mohabbat ki dawa ho jaise

na jaane haar hai jiit kyā hai

ġhamoñ par muskurānā aa gayā hai

TRANSLATION

I know not if it is a victory or defeat,

For I have learnt to smile on my grief.

Sagar Akbarabadi

na jaane haar hai ya jit kya hai

ghamon par muskurana aa gaya hai

TRANSLATION

I know not if it is a victory or defeat,

For I have learnt to smile on my grief.

Sagar Akbarabadi

manzil na milī to ġham nahīñ hai

apne ko to kho ke gayā huuñ

manzil na mili to gham nahin hai

apne ko to kho ke pa gaya hun

yuuñ guzartā hai tirī yaad vaadī meñ ḳhayāl

ḳhārzāroñ meñ koī barhana-pā ho jaise

yun guzarta hai teri yaad ki wadi mein KHayal

KHarzaron mein koi barhana-pa ho jaise

maiñ samajhtā huuñ mujhe daulat-e-kaunain milī

kaun kahtā hai ki vo kar ga.e badnām mujhe

main samajhta hun mujhe daulat-e-kaunain mili

kaun kahta hai ki wo kar gae badnam mujhe

bujhīñ sham.eñ to dil jalā.e haiñ

yuuñ añdheroñ meñ raushnī hai

bujhin shamen to dil jalae hain

yun andheron mein raushni ki hai

vādi-e-shab meñ ujāloñ guzar ho kaise

dil jalā.e raho paiġhām-e-sahar aane tak

wadi-e-shab mein ujalon ka guzar ho kaise

dil jalae raho paigham-e-sahar aane tak

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now