Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Syed Yusuf Ali Khan Nazim's Photo'

Syed Yusuf Ali Khan Nazim

1816 - 1865 | Rampur, India

Sher of Syed Yusuf Ali Khan Nazim

1.5K
Favorite

SORT BY

ye kis zohra-jabīñ anjuman meñ aamad aamad hai

bichhāyā hai qamar ne chāñdnī farsh mahfil meñ

ye kis zohra-jabin ki anjuman mein aamad aamad hai

bichhaya hai qamar ne chandni ka farsh mahfil mein

hai eid mai-kade ko chalo dekhtā hai kaun

shahd o shakar pe TuuT paḌe roza-dār aaj

hai eid mai-kade ko chalo dekhta hai kaun

shahd o shakar pe TuT paDe roza-dar aaj

vahī ma.abūd hai 'nāzim' jo hai mahbūb apnā

kaam kuchh ham ko na masjid se na but-ḳhāne se

wahi mabud hai 'nazim' jo hai mahbub apna

kaam kuchh hum ko na masjid se na but-KHane se

iid ke din jā.iye kyuuñ īd-gāh

jab ki dar-e-mai-kada ho gayā

id ke din jaiye kyun id-gah

jab ki dar-e-mai-kada wa ho gaya

sambhāl vaa.iz zabān apnī ḳhudā se Darā ik zarā hayā kar

butoñ ġhībat ḳhudā ke ghar meñ ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar

sambhaal waiz zaban apni KHuda se Dara ek zara haya kar

buton ki ghibat KHuda ke ghar mein KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar

bosa-e-āriz mujhe dete hue Dartā hai kyuuñ

lūñgā kyā nok-e-zabāñ se tere ruḳh til uThā

bosa-e-ariz mujhe dete hue Darta hai kyun

lunga kya nok-e-zaban se tere ruKH ka til uTha

afsāna-e-majnūñ se nahīñ kam mirā qissa

is baat ko jaane do ki mash.hūr nahīñ hai

afsana-e-majnun se nahin kam mera qissa

is baat ko jaane do ki mashhur nahin hai

vaa.iz o shaiḳh sabhī ḳhuub haiñ kyā batlā.ūñ

maiñ ne maiḳhāne se kis kis ko nikalte dekhā

waiz o shaiKH sabhi KHub hain kya batlaun

main ne maiKHane se kis kis ko nikalte dekha

kahte ho sab ki tujh se ḳhafā ho gayā hai yaar

ye bhī koī batāo ki kis baat par huā

kahte ho sab ki tujh se KHafa ho gaya hai yar

ye bhi koi batao ki kis baat par hua

jumbish abrū ko hai lekin nahīñ āshiq pe nigāh

tum kamāñ kyuuñ liye phirte ho agar tiir nahīñ

jumbish abru ko hai lekin nahin aashiq pe nigah

tum kaman kyun liye phirte ho agar tir nahin

roza rakhtā huuñ subūhī ke hañgām-e-sahar

shaam ko masjid meñ hotā huuñ jamā.at sharīk

roza rakhta hun subuhi pi ke hangam-e-sahar

sham ko masjid mein hota hun jamaat ka sharik

iid hai ham ne bhī jaanā ki na hotī gar iid

mai-farosh aaj dar-e-mai-kada kyuuñ kartā

id hai hum ne bhi jaana ki na hoti gar id

mai-farosh aaj dar-e-mai-kada kyun wa karta

pursish ko agar hoñT tumhāre nahīñ hilte

kyā qatl ko bhī haath tumhārā nahīñ uThtā

pursish ko agar honT tumhaare nahin hilte

kya qatl ko bhi hath tumhaara nahin uThta

aa gayā dhyān meñ mazmūñ tirī yaktā.ī

aaj matl.a huā misra.a mirī tanhā.ī

aa gaya dhyan mein mazmun teri yaktai ka

aaj matla hua misra meri tanhai ka

jab tirā naam sunā to nazar aayā goyā

kis se kahiye ki tujhe kaan se ham dekhte haiñ

jab tera nam suna to nazar aaya goya

kis se kahiye ki tujhe kan se hum dekhte hain

bhalā kyā ta.ana duuñ zuhhād ko zuhd-e-riyā.ī

paḌhī hai maiñ ne masjid meñ namāz-e-be-vazū barsoñ

bhala kya tana dun zuhhad ko zuhd-e-riyai ka

paDhi hai main ne masjid mein namaz-e-be-wazu barson

shabistāñ meñ raho bāġhoñ meñ khelo mujh se kyuuñ pūchho

ki rāteñ kis tarah kaTtī haiñ din kaise guzarte haiñ

shabistan mein raho baghon mein khelo mujh se kyun puchho

ki raaten kis tarah kaTti hain din kaise guzarte hain

shā.er bane nadīm bane qissa-ḳhvāñ bane

paa.ī na un ke dil meñ magar kisī tarah

shaer bane nadim bane qissa-KHwan bane

pai na un ke dil mein magar ja kisi tarah

kyā khā.eñ ham vafā meñ ab īmān qasam

jab tār-e-sub.ha rishta-e-zunnār ho chukā

kya khaen hum wafa mein ab iman ki qasam

jab tar-e-subha rishta-e-zunnar ho chuka

laḌ to aayā us se lekin ham-nashīñ

dil meñ kahtā huuñ ki 'nāzim' kyā kiyā

laD to aaya us se lekin ham-nashin

dil mein kahta hun ki 'nazim' kya kiya

sāhil par aa ke lagtī hai Takkar safīne ko

hijrāñ se vasl meñ hai sivā dil ehtiyāt

sahil par aa ke lagti hai Takkar safine ko

hijran se wasl mein hai siwa dil ki ehtiyat

be diye le uḌā kabūtar ḳhat

yuuñ pahuñchtā hai uupar uupar ḳhat

be diye le uDa kabutar KHat

yun pahunchta hai upar upar KHat

kahte haiñ chhup ke raat ko piitā hai roz mai

vaa.iz se raah kījiye paidā kisī tarah

kahte hain chhup ke raat ko pita hai roz mai

waiz se rah kijiye paida kisi tarah

kam samajhte nahīñ ham ḳhuld se maiḳhāne ko

dīda-e-hūr kahā chāhiye paimāne ko

kam samajhte nahin hum KHuld se maiKHane ko

dida-e-hur kaha chahiye paimane ko

chale ho dasht ko 'nāzim' agar mile majnūñ

zarā hamārī taraf se bhī pyaar kar lenā

chale ho dasht ko 'nazim' agar mile majnun

zara hamari taraf se bhi pyar kar lena

ḳharīdārī hai shahd o shiir o qasr o huur o ġhilmāñ

ġham-e-dīñ bhī agar samjho to ik dhandā hai duniyā

KHaridari hai shahd o shir o qasr o hur o ghilman ki

gham-e-din bhi agar samjho to ek dhanda hai duniya ka

kyā mere kaam se hai ravā.ī ko dushmanī

kashtī mirī khulī thī ki dariyā Thahar gayā

kya mere kaam se hai rawai ko dushmani

kashti meri khuli thi ki dariya Thahar gaya

jaatī nahīñ hai sa.ī rah-e-āshiqī meñ pesh

jo thak ke rah gayā vahī sābit-qadam huā

jati nahin hai sai rah-e-ashiqi mein pesh

jo thak ke rah gaya wahi sabit-qadam hua

chāhūñ ki hāl-e-vahshat-e-dil kuchh raqam karūñ

bhāgeñ hurūf vaqt-e-nigārish qalam se duur

chahun ki haal-e-wahshat-e-dil kuchh raqam karun

bhagen huruf waqt-e-nigarish qalam se dur

muhtāj nahīñ qāfila āvāz-e-darā

sīdhī hai rah-e-but-kada ehsān ḳhudā

muhtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka

sidhi hai rah-e-but-kada ehsan KHuda ka

us but kūcha masjid-e-jāme nahīñ hai shaiḳh

uThiye aur apnā yaañ se musallā uThā.iye

us but ka kucha masjid-e-jame nahin hai shaiKH

uThiye aur apna yan se musalla uThaiye

ghar vīrānī ko kyā ro.uuñ ki ye pahle

tañg itnā hai ki gunjā.ish-e-ta.amīr nahīñ

ghar ki virani ko kya roun ki ye pahle si

tang itna hai ki gunjaish-e-tamir nahin

na bazla-sanj na shā.er na shoḳh-tab.a raqīb

diyā hai aap ne ḳhalvat meñ apnī baar kise

na bazla-sanj na shaer na shoKH-taba raqib

diya hai aap ne KHalwat mein apni bar kise

hai jalva-faroshī dukāñ jo ye ab isī ne

dīvār meñ khiḌkī sar-e-bāzār nikālī

hai jalwa-faroshi ki dukan jo ye ab isi ne

diwar mein khiDki sar-e-bazar nikali

bos-o-kanār ke liye ye sab fareb haiñ

iz.hār-e-pāk-bāzī o zauq-e-nazar ġhalat

bos-o-kanar ke liye ye sab fareb hain

izhaar-e-pak-bazi o zauq-e-nazar ghalat

muTThī meñ kyā dharī thī ki chupke se sauñp

jān-e-azīz peshkash-e-nāma-bar ġhalat

muTThi mein kya dhari thi ki chupke se saunp di

jaan-e-aziz peshkash-e-nama-bar ghalat

hai rishta ek phir ye kashākash na chāhiye

achchhā nahīñ hai sub.ha zunnār se bigāḌ

hai rishta ek phir ye kashakash na chahiye

achchha nahin hai subha ka zunnar se bigaD

barsoñ DhūñDā kiye ham dair-o-haram meñ lekin

kahīñ paayā na patā us but-e-harjā.ī

barson DhunDa kiye hum dair-o-haram mein lekin

kahin paya na pata us but-e-harjai ka

hai daur-e-falak zo.af meñ pesh-e-nazar apne

kis vaqt ham uThte haiñ ki chakkar nahīñ aatā

hai daur-e-falak zoaf mein pesh-e-nazar apne

kis waqt hum uThte hain ki chakkar nahin aata

rone ne mire saikḌoñ ghar Dhā diye lekin

kyā raah tire kūche hamvār nikālī

rone ne mere saikDon ghar Dha diye lekin

kya rah tere kuche ki hamwar nikali

ek hai jab marja-e-islām-o-kufr

farq kaisā sub.ha-o-zunnār

ek hai jab marja-e-islam-o-kufr

farq kaisa subha-o-zunnar ka

'nāzim' ye intizām ri.āyat hai naam

maiñ mubtalā nahīñ havas-e-mulk-o-māl

'nazim' ye intizam riayat hai nam ki

main mubtala nahin hawas-e-mulk-o-mal ka

haq ye hai ki ka.abe binā bhī na paḌī thī

haiñ jab se dar-e-but-kada par ḳhāk-nashīñ ham

haq ye hai ki kabe ki bina bhi na paDi thi

hain jab se dar-e-but-kada par KHak-nashin hum

jab guzartī hai shab-e-hijr maiñ uThtā huuñ

ohda ḳhurshīd ne paayā hai masīhā.ī

jab guzarti hai shab-e-hijr main ji uThta hun

ohda KHurshid ne paya hai masihai ka

phūñk do yaañ gar ḳhas-o-ḳhāshāk haiñ

duur kyuuñ pheñko hameñ gulzār se

phunk do yan gar KHas-o-KHashak hain

dur kyun phenko hamein gulzar se

band mahram ke vo khulvāte haiñ ham se beshtar

āj-kal sone chiḌiyā hai hamāre haath meñ

band mahram ke wo khulwate hain hum se beshtar

aaj-kal sone ki chiDiya hai hamare hath mein

kufr-o-īmāñ se hai kyā bahs ik tamannā chāhiye

haath meñ tasbīh ho dosh par zunnār ho

kufr-o-iman se hai kya bahs ek tamanna chahiye

hath mein tasbih ho ya dosh par zunnar ho

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now