Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Unwan Chishti's Photo'

Unwan Chishti

1937 - 2004 | Delhi, India

Sher of Unwan Chishti

1.3K
Favorite

SORT BY

maiñ kis tarah tujhe ilzām-e-bevafā.ī duuñ

rah-e-vafā meñ tire naqsh-e-pā bhī milte haiñ

main kis tarah tujhe ilzam-e-bewafai dun

rah-e-wafa mein tere naqsh-e-pa bhi milte hain

pareshāñ ho ke dil tark-e-ta.alluq par hai āmāda

mohabbat meñ ye sūrat bhī na raas aa.ī to kyā hogā

pareshan ho ke dil tark-e-talluq par hai aamada

mohabbat mein ye surat bhi na ras aai to kya hoga

vo hādse bhī dahr meñ ham par guzar ga.e

jiine aarzū meñ ka.ī baar mar ga.e

wo hadse bhi dahr mein hum par guzar gae

jine ki aarzu mein kai bar mar gae

aap se chuuk ho ga.ī shāyad

aap aur mujh pe mehrbāñ kyā ḳhuub

aap se chuk ho gai shayad

aap aur mujh pe mehrban kya KHub

ishq phir ishq hai āshufta-sarī māñge hai

hosh ke daur meñ bhī jāma-darī māñge hai

ishq phir ishq hai aashufta-sari mange hai

hosh ke daur mein bhi jama-dari mange hai

mirī samajh meñ aa gayā har ek rāz-e-zindagī

jo dil pe choT paḌ ga.ī to duur tak nazar ga.ī

meri samajh mein aa gaya har ek raaz-e-zindagi

jo dil pe choT paD gai to dur tak nazar gai

husn to nahīñ betāb-e-numā.ish 'unvāñ'

ishq bhī aaj na.ī jalvagarī māñge hai

husn hi to nahin betab-e-numaish 'unwan'

ishq bhi aaj nai jalwagari mange hai

rahne de taklīf-e-tavajjoh dil ko hai ārām bahut

hijr meñ terī yaad bahut hai ġham meñ terā naam bahut

rahne de taklif-e-tawajjoh dil ko hai aaram bahut

hijr mein teri yaad bahut hai gham mein tera nam bahut

is kār-e-numāyāñ ke shāhid haiñ chaman vaale

gulshan meñ bahāroñ ko laa.e the hamīñ pahle

is kar-e-numayan ke shahid hain chaman wale

gulshan mein bahaaron ko lae the hamin pahle

kuchh to batāo ai farzāno dīvānoñ par kyā guzrī

shahr-e-tamannā galiyoñ meñ barpā hai kohrām bahut

kuchh to batao ai farzano diwanon par kya guzri

shahr-e-tamanna ki galiyon mein barpa hai kohram bahut

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now