Quotes of Wajahat Ali Sandailvi
Jis tarah har gali ke liye kam se kam eik kam tol pansaari, eik ghar ka sher kuttaa, eik ladaakaa saas, eik bad-zabaan bahu, eik naseehat karne waale buzurg, eik fazeehat pee jaane wala rind aur hawaaej-e-zaroori se faarigh hote hue bahut se bachchon ka hona laazmi hota hai, usi tarah kisi na kisi bahes mein eik maahir Ghaalabiyaat ka hona bhi laazimi hota hai aur baghair iske gird-o-pesh ka jughraafiya kuch adhoora rah jaata hai.