Wali Aasi
Ghazal 25
Sher-o-Shayari 23
unheñ bhī jiine ke kuchh tajrabe hue hoñge
jo kah rahe haiñ ki mar jaanā chāhte haiñ ham
unhen bhi jine ke kuchh tajrabe hue honge
jo kah rahe hain ki mar jaana chahte hain hum
-
Share this
- See Ghazal
cigareteñ chaa.e dhuāñ raat ga.e tak bahseñ
aur koī phuul sā āñchal kahīñ nam hotā hai
cigareten chae dhuan raat gae tak bahsen
aur koi phul sa aanchal kahin nam hota hai
-
Share this
- See Ghazal
ishq bin jiine ke ādāb nahīñ aate haiñ
'mīr' sāhab ne kahā hai ki miyāñ ishq karo
ishq bin jine ke aadab nahin aate hain
'mir' sahab ne kaha hai ki miyan ishq karo
-
Share this
- See Ghazal
aaj tak jo bhī huā us ko bhulā denā hai
aaj se tai hai ki dushman ko duā denā hai
aaj tak jo bhi hua us ko bhula dena hai
aaj se tai hai ki dushman ko dua dena hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 12
Image Shayari 4
jin kii yaade.n hai.n abhii dil me.n nishaanii kii tarah vo hame.n bhuul ga.e ek kahaanii kii tarah dosto Dhuu.nD ke ham saa ko.ii pyaasaa laa.o ham to aa.nsuu bhii jo piite hai.n to paanii kii tarah Gam ko siine me.n chhupaa.e hu.e rakhnaa yaaro Gam mahakte hai.n bahut raat kii raanii kii tarah tum hamaare the tumhe.n yaad nahii.n hai shaayad din guzarte hai.n baraste hu.e paanii kii tarah aaj jo log tire Gam pe ha.nse hai.n 'vaalii' kal tujhe yaad kare.nge vahii 'faanii' kii tarah