Ajmal Siddiqui
Ghazal 12
Sher-o-Shayari 11
aas pe terī bikhrā detā huuñ kamre kī sab chīzeñ
aas bikharne par sab chīzeñ ḳhud hī uThā ke rakhtā huuñ
aas pe teri bikhra deta hun kamre ki sab chizen
aas bikharne par sab chizen KHud hi uTha ke rakhta hun
-
Share this
- See Ghazal
bol paḌtā to mirī baat mirī hī rahtī
ḳhāmushī ne haiñ diye sab ko fasāne kyā kyā
bol paDta to meri baat meri hi rahti
KHamushi ne hain diye sab ko fasane kya kya
-
Share this
- See Ghazal
jis din se gayā vo jān-e-ġhazal har misre kī sūrat bigḌī
har lafz pareshāñ dikhtā hai, is darja varaq namnāk huā
jis din se gaya wo jaan-e-ghazal har misre ki surat bigDi
har lafz pareshan dikhta hai, is darja waraq namnak hua
-
Share this
- See Ghazal
kyā kyā na paḌhā is maktab meñ, kitne hī hunar sīkhe haiñ yahāñ
iz.hār kabhī āñkhoñ se kiyā kabhī had se sivā bebāk huā
kya kya na paDha is maktab mein, kitne hi hunar sikhe hain yahan
izhaar kabhi aankhon se kiya kabhi had se siwa bebak hua
-
Share this
- See Ghazal
mere saath sū-e-junūn chal mire zaḳhm khā mirā raqs kar
mere sher paḌh ke milegā kyā patā paḌh ke ghar koī pā sakā?
mere sath su-e-junun chal mere zaKHm kha mera raqs kar
mere sher paDh ke milega kya pata paDh ke ghar koi pa saka?
-
Share this
- See Ghazal