Aleena Itrat
Ghazal 22
Nazm 5
Sher-o-Shayari 44
BOOKS 1
Image Shayari 3
udaasii shaam tanhaa.ii kasak yaado.n kii bechainii mujhe sab sau.np kar suuraj utar jaataa hai paanii me.n
apnii muTThii me.n chhupaa kar kisii jugnuu kii tarah ham tire naam ko chupke se pa.Dhaa karte hai.n
pukaarte pukaarte sadaa hii aur ho ga.ii qubuul hote hote har du.aa hii aur ho ga.ii zaraa saa ruk ke do-gha.Dii chaman pe kyaa nigaah kii badal gayaa mizaaj-e-gul havaa hii aur ho ga.ii ye kis ke naam kii tapish se por por jal uThe hatheliyaa.n mahak ga.ii.n hinaa hii aur ho ga.ii KHizaa.n ne apne naam kii ridaa jo gul pe Daal dii chaman kaa rang u.D gayaa sabaa hii aur ho ga.ii Guruur-e-aaftaab se zamii.n kaa dil saham gayaa tamaam baarishe.n thamii.n ghaTaa hii aur ho ga.ii KHamoshiyo.n ne zer-e-lab ye kyaa kahaa ye kyaa sunaa ki kaa.enaat-e-ishq kii adaa hii aur ho ga.ii jo vaqt mehrbaa.n hu.aa to KHaar phuul ban ga.e KHizaa.n kii zard zard sii qabaa hii aur ho ga.ii varaq varaq 'aliinaa' ham ne zindagii se yuu.n ra.ngaa ki kaatib-e-nasiib kii razaa hii aur ho ga.ii