Ameeq Hanafi
Ghazal 18
Nazm 25
Sher-o-Shayari 20
ishq ke hijje bhī jo na jāneñ vo haiñ ishq ke dāvedār
jaise ġhazleñ raT kar gaate haiñ bachche schōl meñ
ishq ke hijje bhi jo na jaanen wo hain ishq ke dawedar
jaise ghazlen raT kar gate hain bachche school mein
-
Share this
- See Ghazal
ḳhvāb jo dekhe na the un kī sazā to mil ga.ī
bārhā dekhā jinheñ un kā sila miltā nahīñ
KHwab jo dekhe na the un ki saza to mil gai
barha dekha jinhen un ka sila milta nahin
-
Share this
- See Ghazal
ḳhvāhishoñ kī bijliyoñ kī jaltī bujhtī raushnī
khīñchtī hai manzaroñ meñ naqsha-e-āsāb sā
KHwahishon ki bijliyon ki jalti bujhti raushni
khinchti hai manzaron mein naqsha-e-asab sa
-
Share this
- See Ghazal
sukūt tark-e-ta.alluq kā ik garāñ lamha
banā gayā hai sadāoñ kā silsila mujh ko
sukut tark-e-talluq ka ek garan lamha
bana gaya hai sadaon ka silsila mujh ko
-
Share this
- See Ghazal