Anwar Shuoor
Ghazal 60
Sher-o-Shayari 58
farishtoñ se bhī achchhā maiñ burā hone se pahle thā
vo mujh se intihā.ī ḳhush ḳhafā hone se pahle thā
farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha
wo mujh se intihai KHush KHafa hone se pahle tha
-
Share this
- See Ghazal
go kaThin hai tai karnā umr kā safar tanhā
lauT kar na dekhūñgā chal paḌā agar tanhā
go kaThin hai tai karna umr ka safar tanha
lauT kar na dekhunga chal paDa agar tanha
-
Share this
- See Ghazal
Mazahiya Shayari 3
BOOKS 6
Image Shayari 11
ye mat puuchho ki kaisaa aadmii huu.n karoge yaad, aisaa aadmii huu.n miraa naam-o-nasab kyaa puuchhte ho! zaliil-o-KHvaar-o-rusvaa aadmii huu.n ta.aaruf aur kyaa is ke sivaa ho ki mai.n bhii aap jaisaa aadmii huu.n zamaane ke jhamelo.n se mujhe kyaa mirii jaa.n! mai.n tumhaaraa aadmii huu.n chale aayaa karo merii taraf bhii! mohabbat karne vaalaa aadmii huu.n tavajjoh me.n kamii beshii na jaano aziizo! mai.n akelaa aadmii huu.n guzaaruu.n ek jaisaa vaqt kab tak ko.ii patthar huu.n mai.n yaa aadmii huu.n 'shu.uur' aa jaa.o mere saath, lekin! mai.n ik bhaTkaa hu.aa saa aadmii huu.n
achchhaa KHaasaa baiThe baiThe gum ho jaataa huu.n ab mai.n aksar mai.n nahii.n rahtaa tum ho jaataa huu.n
achchhaa KHaasaa baiThe baiThe gum ho jaataa huu.n ab mai.n aksar mai.n nahii.n rahtaa tum ho jaataa huu.n