Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azra Parveen's Photo'

Azra Parveen

Lucknow, India

A poet to make space for resistance and current social issues.

A poet to make space for resistance and current social issues.

Sher of Azra Parveen

chaar samteñ ā.īna har taraf

tum ko kho dene manzar aur maiñ

chaar samten aaina si har taraf

tum ko kho dene ka manzar aur main

zamīñ ke aur taqāze falak kuchh aur kahe

qalam bhī chup hai ki ab moḌ le kahānī kyā

zamin ke aur taqaze falak kuchh aur kahe

qalam bhi chup hai ki ab moD le kahani kya

us ne mere naam sūraj chāñd taare likh diyā

merā dil miTTī pe rakh apne lab rotā rahā

us ne mere nam suraj chand tare likh diya

mera dil miTTi pe rakh apne lab rota raha

simaT ga.ī to shabnam phuul sitāra thī

biphar ke merī lahar lahar añgāra thī

simaT gai to shabnam phul sitara thi

biphar ke meri lahar lahar angara thi

rañg apne jo the bhar bhī kahāñ paa.e kabhī ham

ham ne to sadā radd-e-amal meñ basar

rang apne jo the bhar bhi kahan pae kabhi hum

hum ne to sada radd-e-amal mein hi basar ki

Recitation

Speak Now