Behzad Lakhnavi
Ghazal 31
Nazm 2
Sher-o-Shayari 11
ai dil kī ḳhalish chal yūñhī sahī chaltā to huuñ un kī mahfil meñ
us vaqt mujhe chauñkā denā jab rañg pe mahfil aa jaa.e
O heartache, come,I do agree, to go and join her company
there rouse me from my reverie, when it befits the atmosphere
ai dil ki KHalish chal yunhi sahi chalta to hun un ki mahfil mein
us waqt mujhe chaunka dena jab rang pe mahfil aa jae
O heartache, come,I do agree, to go and join her company
there rouse me from my reverie, when it befits the atmosphere
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
'bahzād' saaf saaf maiñ kahtā huuñ hāl-e-dil
sharminda-e-kamāl mirī shā.irī nahīñ
'bahzad' saf saf main kahta hun haal-e-dil
sharminda-e-kamal meri shairi nahin
-
Share this
- See Ghazal
maiñ DhūñDh rahā huuñ mirī vo sham.a kahāñ hai
jo bazm kī har chiiz ko parvāna banā de
main DhunDh raha hun meri wo shama kahan hai
jo bazm ki har chiz ko parwana bana de
-
Share this
- See Ghazal
Naat 48
BOOKS 52
Image Shayari 1
ik bevafaa ko dard kaa darmaa.n banaa liyaa ham ne to aah kufr ko iimaa.n banaa liyaa dil kii KHalish-pasa.ndiyaa.n hai.n ki allaah kii panaah tiir-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaa.n banaa liyaa mujh ko KHabar nahii.n mire dil ko KHabar nahii.n kis kii nazar ne banda-e-ehsaa.n banaa liyaa mahsuus kar ke ham ne mohabbat kaa har alam KHvaab-e-subuk ko KHvaab-e-pareshaa.n banaa liyaa dast-e-junuu.n kii uqda-kushaa.ii to dekhiye daaman ko be-niyaaz garebaa.n banaa liyaa taskiin-e-dil kii ham ne bhii parvaah chho.D dii har mauj-e-Gam ko haasil-e-tuufaa.n banaa liyaa jab un kaa naam aa gayaa ham muztarib hu.e aaho.n ko apnii ziist kaa unvaa.n banaa liyaa ham ne to apne dil me.n vo Gam ho ki ho alam jo ko.ii aa gayaa use mehmaa.n banaa liyaa aa.iina dekhne kii zaruurat na thii ko.ii apne ko KHud hii aap ne hairaa.n banaa liyaa ik be-vafaa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar 'bahzaad' ham ne KHud ko pareshaa.n banaa liyaa