ALL
Profile
Ghazal46
Nazm17
Sher32
E-book46
Image Shayari23
Audio31
Video20
Qita32
Gallery 15
Blog2
Other
Jan Nisar Akhtar
Ghazal 46
Nazm 17
Sher-o-Shayari 32
aaj to mil ke bhī jaise na mile hoñ tujh se
chauñk uThte the kabhī terī mulāqāt se ham
aaj to mil ke bhi jaise na mile hon tujh se
chaunk uThte the kabhi teri mulaqat se hum
-
Share this
- See Ghazal
āñkhoñ meñ jo bhar loge to kāñToñ se chubheñge
ye ḳhvāb to palkoñ pe sajāne ke liye haiñ
aankhon mein jo bhar loge to kanTon se chubhenge
ye KHwab to palkon pe sajaane ke liye hain
-
Share this
- See Ghazal
ab ye bhī nahīñ Thiik ki har dard miTā deñ
kuchh dard kaleje se lagāne ke liye haiñ
ab ye bhi nahin Thik ki har dard miTa den
kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain
-
Share this
- See Ghazal
guzar gayā hai koī lamha-e-sharar kī tarah
abhī to maiñ use pahchān bhī na paayā thā
guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah
abhi to main use pahchan bhi na paya tha
-
Share this
- See Ghazal
Qita 32
BOOKS 46
Image Shayari 23
zindagii tujh ko bhulaayaa hai bahut din ham ne vaqt KHvaabo.n me.n ga.nvaayaa hai bahut din ham ne ab ye nekii bhii hame.n jurm nazar aatii hai sab ke aibo.n ko chhupaayaa hai bahut din ham ne tum bhii is dil ko dukhaa lo to ko.ii baat nahii.n apnaa dil aap dukhaayaa hai bahut din ham ne muddato.n tark-e-tamannaa pe lahuu royaa hai ishq kaa qarz chukaayaa hai bahut din ham ne kyaa pataa ho bhii sake is kii talaafii ki nahii.n shaa.erii tujh ko ga.nvaayaa hai bahut din ham ne
aahaT sii ko.ii aa.e to lagtaa hai ki tum ho saaya ko.ii lahraa.e to lagtaa hai ki tum ho jab shaaKH ko.ii haath lagaate hii chaman me.n sharmaa.e lachak jaa.e to lagtaa hai ki tum ho sandal se mahaktii hu.ii pur-kaif havaa kaa jho.nkaa ko.ii Takraa.e to lagtaa hai ki tum ho o.Dhe hu.e taaro.n kii chamaktii hu.ii chaadar naddii ko.ii bal khaa.e to lagtaa hai ki tum ho jab raat ga.e ko.ii kiran mere baraabar chup-chaap sii so jaa.e to lagtaa hai ki tum ho