Sher of Jayant Parmar
lams kī vo raushnī bhī bujh ga.ī
jism ke andar añdherā aur hai
lams ki wo raushni bhi bujh gai
jism ke andar andhera aur hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bistar pe leTe leTe mirī aañkh lag ga.ī
ye kaun mere kamre kī battī bujhā gayā
bistar pe leTe leTe meri aankh lag gai
ye kaun mere kamre ki batti bujha gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har ek shāḳh ke hāthoñ meñ phuul mahkeñge
ḳhizāñ kā peḌ bhī kapḌe badalnā chāhtā hai
har ek shaKH ke hathon mein phul mahkenge
KHizan ka peD bhi kapDe badalna chahta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil ko dukhātī hai phir bhī kyuuñ achchhī lagtī hai
yādoñ kī ye shaam suhānī dil meñ qaid huī
dil ko dukhati hai phir bhi kyun achchhi lagti hai
yaadon ki ye sham suhani dil mein qaid hui
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jugnū thā taarā thā kyā thā
darvāze par kaun khaḌā thā
jugnu tha tara tha kya tha
darwaze par kaun khaDa tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download