Sher of Meraj Faizabadi
zindagī dī hai to jiine kā hunar bhī denā
paañv baḳhsheñ haiñ to taufīq-e-safar bhī denā
zindagi di hai to jine ka hunar bhi dena
panw baKHshen hain to taufiq-e-safar bhi dena
-
Tag : Parliament
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hameñ paḌhāo na rishtoñ kī koī aur kitāb
paḌhī hai baap ke chehre kī jhurriyāñ ham ne
hamein paDhao na rishton ki koi aur kitab
paDhi hai bap ke chehre ki jhurriyan hum ne
aaj bhī gaañv meñ kuchh kachche makānoñ vaale
ghar meñ ham-sā.e ke faaqa nahīñ hone dete
aaj bhi ganw mein kuchh kachche makanon wale
ghar mein ham-sae ke faqa nahin hone dete
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujh ko thakne nahīñ detā ye zarūrat kā pahāḌ
mere bachche mujhe būḌhā nahīñ hone dete
mujh ko thakne nahin deta ye zarurat ka pahaD
mere bachche mujhe buDha nahin hone dete
-
Tag : Father
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tere baare meñ jab sochā nahīñ thā
maiñ tanhā thā magar itnā nahīñ thā
TRANSLATION
When I had not thought about thou,
I was alone but not as much as now.
Sagar Akbarabadi
tere bare mein jab socha nahin tha
main tanha tha magar itna nahin tha
TRANSLATION
When I had not thought about thou,
I was alone but not as much as now.
Sagar Akbarabadi
yuuñ huā phir band kar liiñ us ne āñkheñ ek din
vo samajh letā thā dil kā haal chehra dekh kar
yun hua phir band kar lin us ne aankhen ek din
wo samajh leta tha dil ka haal chehra dekh kar
shā.erī meñ 'mīr'-o-'ġhālib' ke zamāna ab kahāñ
shohrateñ jab itnī sastī hoñ adab dekhegā kaun
shaeri mein 'mir'-o-'ghaalib' ke zamana ab kahan
shohraten jab itni sasti hon adab dekhega kaun
-
Tag : Meer Taqi Meer
jo kah rahe the ki jiinā muhāl hai tum bin
bichhaḌ ke mujh se vo do din udaas bhī na rahe
jo kah rahe the ki jina muhaal hai tum bin
bichhaD ke mujh se wo do din udas bhi na rahe
pyaas kahtī hai chalo ret nichoḌī jaa.e
apne hisse meñ samundar nahīñ aane vaalā
pyas kahti hai chalo ret nichoDi jae
apne hisse mein samundar nahin aane wala