TOP 20 SHAYARI of Muztar Khairabadi
musībat aur lambī zindagānī
buzurgoñ kī duā ne maar Daalā
all these worldly troubles and longevity
blessings of the elders is the death of me
musibat aur lambi zindagani
buzurgon ki dua ne mar Dala
all these worldly troubles and longevity
blessings of the elders is the death of me
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vaqt do mujh par kaThin guzre haiñ saarī umr meñ
ik tire aane se pahle ik tire jaane ke ba.ad
waqt do mujh par kaThin guzre hain sari umr mein
ek tere aane se pahle ek tere jaane ke baad
-
Tag : Famous shayari
ilāj-e-dard-e-dil tum se masīhā ho nahīñ saktā
tum achchhā kar nahīñ sakte maiñ achchhā ho nahīñ saktā
ilaj-e-dard-e-dil tum se masiha ho nahin sakta
tum achchha kar nahin sakte main achchha ho nahin sakta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na kisī kī aañkh kā nuur huuñ na kisī ke dil kā qarār huuñ
jo kisī ke kaam na aa sake maiñ vo ek musht-e-ġhubār huuñ
I'm not the light of any eye, for me none has a care
no use to anyone am I, dust merely scattered there
na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun
jo kisi ke kaam na aa sake main wo ek musht-e-ghubar hun
I'm not the light of any eye, for me none has a care
no use to anyone am I, dust merely scattered there
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
asīr-e-panja-e-ahd-e-shabāb kar ke mujhe
kahāñ gayā mirā bachpan ḳharāb kar ke mujhe
asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe
kahan gaya mera bachpan KHarab kar ke mujhe
burā huuñ maiñ jo kisī kī burā.iyoñ meñ nahīñ
bhale ho tum jo kisī kā bhalā nahīñ karte
bura hun main jo kisi ki buraiyon mein nahin
bhale ho tum jo kisi ka bhala nahin karte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
laḌā.ī hai to achchhā rāt-bhar yuuñ hī basar kar lo
ham apnā muñh idhar kar leñ tum apnā muñh udhar kar lo
laDai hai to achchha raat-bhar yun hi basar kar lo
hum apna munh idhar kar len tum apna munh udhar kar lo
ik ham haiñ ki ham ne tumheñ ma.ashūq banāyā
ik tum ho ki tum ne hameñ rakkhā na kahīñ kā
ek hum hain ki hum ne tumhein mashuq banaya
ek tum ho ki tum ne hamein rakkha na kahin ka
agar taqdīr sīdhī hai to ḳhud ho jāoge sīdhe
ḳhafā baiThe raho tum ko manāne kaun aatā hai
agar taqdir sidhi hai to KHud ho jaoge sidhe
KHafa baiThe raho tum ko manane kaun aata hai
hamāre ek dil ko un kī do zulfoñ ne gherā hai
ye kahtī hai ki merā hai vo kahtī hai ki merā hai
hamare ek dil ko un ki do zulfon ne ghera hai
ye kahti hai ki mera hai wo kahti hai ki mera hai
un ko aatī thī niiñd aur mujh ko
apnā qissa tamām karnā thā
un ko aati thi nind aur mujh ko
apna qissa tamam karna tha
un kā ik patlā sā ḳhanjar un kā ik nāzuk sā haath
vo to ye kahiye mirī gardan ḳhushī meñ kaT ga.ī
un ka ek patla sa KHanjar un ka ek nazuk sa hath
wo to ye kahiye meri gardan KHushi mein kaT gai
āñkheñ na churāo dil meñ rah kar
chorī na karo ḳhudā ke ghar meñ
aankhen na churao dil mein rah kar
chori na karo KHuda ke ghar mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo pūchhā muñh dikhāne aap kab chilman se nikleñge
to bole aap jis din hashr meñ madfan se nikleñge
jo puchha munh dikhane aap kab chilman se niklenge
to bole aap jis din hashr mein madfan se niklenge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mohabbat meñ kisī ne sar paTakne kā sabab pūchhā
to kah dūñgā ki apnī mushkileñ āsān kartā huuñ
mohabbat mein kisi ne sar paTakne ka sabab puchha
to kah dunga ki apni mushkilen aasan karta hun
ai ishq kahīñ le chal ye dair-o-haram chhūTeñ
in donoñ makānoñ meñ jhagḌā nazar aatā hai
ai ishq kahin le chal ye dair-o-haram chhuTen
in donon makanon mein jhagDa nazar aata hai
vo shāyad ham se ab tark-e-ta.alluq karne vaale haiñ
hamāre dil pe kuchh afsurdagī sī chhā.ī jaatī hai
wo shayad hum se ab tark-e-talluq karne wale hain
hamare dil pe kuchh afsurdagi si chhai jati hai
ikaTThe kar ke terī dūsrī tasvīr khīñchūñgā
vo sab jalve jo chhan chhan kar tirī chilman se nikleñge
ikaTThe kar ke teri dusri taswir khinchunga
wo sab jalwe jo chhan chhan kar teri chilman se niklenge
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tasavvur meñ tirā dar apne sar tak khīñch letā huuñ
sitamgar maiñ nahīñ chaltā tirī dīvār chaltī hai
tasawwur mein tera dar apne sar tak khinch leta hun
sitamgar main nahin chalta teri diwar chalti hai