Sher on Gham
Pain and pleasure, the
two facets of life, write our stories in multiple ways. It is interesting that pleasure is a passing season while pain is a condition that stays for long and transforms us. Grief and suffering are the other names of this condition. This selection on the perennial theme of pain and suffering would be of interest to you.
dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai
lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai
dil na-umid to nahin nakaam hi to hai
lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai
-
Tags : Diland 4 more
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
-
Tags : Famous shayariand 3 more
apne chehre se jo zāhir hai chhupā.eñ kaise
terī marzī ke mutābiq nazar aa.eñ kaise
how do I hide the obvious, which from my face is clear
as you wish me to be seen, how do I thus appear
apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise
teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise
how do I hide the obvious, which from my face is clear
as you wish me to be seen, how do I thus appear
saarī duniyā ke ġham hamāre haiñ
aur sitam ye ki ham tumhāre haiñ
sari duniya ke gham hamare hain
aur sitam ye ki hum tumhaare hain
ġham aur ḳhushī meñ farq na mahsūs ho jahāñ
maiñ dil ko us maqām pe laatā chalā gayā
gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan
main dil ko us maqam pe lata chala gaya
-
Tags : Ishqand 3 more
ab to ḳhushī kā ġham hai na ġham kī ḳhushī mujhe
be-his banā chukī hai bahut zindagī mujhe
ab to KHushi ka gham hai na gham ki KHushi mujhe
be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe
-
Tags : Dardand 3 more
merī qismat meñ ġham gar itnā thā
dil bhī yā-rab ka.ī diye hote
if so much pain my fate ordained
I, many hearts should have obtained
meri qismat mein gham gar itna tha
dil bhi ya-rab kai diye hote
if so much pain my fate ordained
I, many hearts should have obtained
-
Tag : Dil
patthar ke jigar vaalo ġham meñ vo ravānī hai
ḳhud raah banā legā bahtā huā paanī hai
patthar ke jigar walo gham mein wo rawani hai
KHud rah bana lega bahta hua pani hai
-
Tags : Famous shayariand 1 more
is qadar musalsal thiiñ shiddateñ judā.ī kī
aaj pahlī baar us se maiñ ne bevafā.ī kī
is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
aaj pahli bar us se main ne bewafai ki
-
Tags : Bewafaiand 2 more
tum itnā jo muskurā rahe ho
kyā ġham hai jis ko chhupā rahe ho
tum itna jo muskura rahe ho
kya gham hai jis ko chhupa rahe ho
-
Tags : Filmi Shayariand 1 more
ġham-e-duniyā bhī ġham-e-yār meñ shāmil kar lo
nashsha baḌhtā hai sharābeñ jo sharāboñ meñ mileñ
let love's longing with the ache of existence compound
when spirits intermingle the euphoria is profound
gham-e-duniya bhi gham-e-yar mein shamil kar lo
nashsha baDhta hai sharaben jo sharabon mein milen
let love's longing with the ache of existence compound
when spirits intermingle the euphoria is profound
-
Tags : Duniyaand 1 more
ai ġham-e-zindagī na ho nārāz
mujh ko aadat hai muskurāne kī
ai gham-e-zindagi na ho naraaz
mujh ko aadat hai muskurane ki
-
Tag : Muskurahat
musībat aur lambī zindagānī
buzurgoñ kī duā ne maar Daalā
all these worldly troubles and longevity
blessings of the elders is the death of me
musibat aur lambi zindagani
buzurgon ki dua ne mar Dala
all these worldly troubles and longevity
blessings of the elders is the death of me
maiñ ronā chāhtā huuñ ḳhuub ronā chāhtā huuñ maiñ
phir us ke baad gahrī niind sonā chāhtā huuñ maiñ
main rona chahta hun KHub rona chahta hun main
phir us ke baad gahri nind sona chahta hun main
-
Tags : Aab Deedahand 3 more
qaid-e-hayāt o band-e-ġham asl meñ donoñ ek haiñ
maut se pahle aadmī ġham se najāt paa.e kyuuñ
prison of life and sorrow's chains in truth are just the same
then relief from pain, ere death,why should man obtain
qaid-e-hayat o band-e-gham asl mein donon ek hain
maut se pahle aadmi gham se najat pae kyun
prison of life and sorrow's chains in truth are just the same
then relief from pain, ere death,why should man obtain
-
Tags : Mautand 1 more
un kā ġham un kā tasavvur un kī yaad
kaT rahī hai zindagī ārām se
un ka gham un ka tasawwur un ki yaad
kaT rahi hai zindagi aaram se
zamāne bhar ke ġham yā ik tirā ġham
ye ġham hogā to kitne ġham na hoñge
your sorrow or a world of pain
if this be there none will remain
zamane bhar ke gham ya ek tera gham
ye gham hoga to kitne gham na honge
your sorrow or a world of pain
if this be there none will remain
ġham hai na ab ḳhushī hai na ummīd hai na yaas
sab se najāt paa.e zamāne guzar ga.e
gham hai na ab KHushi hai na ummid hai na yas
sab se najat pae zamane guzar gae
-
Tags : Khushiand 2 more
ek vo haiñ ki jinheñ apnī ḳhushī le Duubī
ek ham haiñ ki jinheñ ġham ne ubharne na diyā
ek wo hain ki jinhen apni KHushi le Dubi
ek hum hain ki jinhen gham ne ubharne na diya
-
Tag : Khushi
jab tujhe yaad kar liyā sub.h mahak mahak uThī
jab tirā ġham jagā liyā raat machal machal ga.ī
When your thoughts arose, fragrant was the morn
When your sorrow's woke, the night was all forlorn
jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uThi
jab tera gham jaga liya raat machal machal gai
When your thoughts arose, fragrant was the morn
When your sorrow's woke, the night was all forlorn
sukūn de na sakīñ rāhateñ zamāne kī
jo niiñd aa.ī tire ġham kī chhāñv meñ aa.ī
sukun de na sakin rahaten zamane ki
jo nind aai tere gham ki chhanw mein aai
ye ġham nahīñ hai ki ham donoñ ek ho na sake
ye rañj hai ki koī darmiyān meñ bhī na thā
ye gham nahin hai ki hum donon ek ho na sake
ye ranj hai ki koi darmiyan mein bhi na tha
-
Tag : Judai
tujh ko pā kar bhī na kam ho sakī be-tābī-e-dil
itnā āsān tire ishq kā ġham thā hī nahīñ
tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil
itna aasan tere ishq ka gham tha hi nahin
kyā kahūñ kis tarah se jiitā huuñ
ġham ko khātā huuñ aañsū piitā huuñ
kya kahun kis tarah se jita hun
gham ko khata hun aansu pita hun
are o āsmāñ vaale batā is meñ burā kyā hai
ḳhushī ke chaar jhoñke gar idhar se bhī guzar jaa.eñ
are o aasman wale bata is mein bura kya hai
KHushi ke chaar jhonke gar idhar se bhi guzar jaen
-
Tags : Khudaand 1 more
agar maujeñ Dubo detīñ to kuchh taskīn ho jaatī
kināroñ ne Duboyā hai mujhe is baat kā ġham hai
agar maujen Dubo detin to kuchh taskin ho jati
kinaron ne Duboya hai mujhe is baat ka gham hai
ik ishq kā ġham aafat aur us pe ye dil aafat
yā ġham na diyā hotā yā dil na diyā hotā
ek ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota
-
Tags : Diland 1 more
un kā ġham un kā tasavvur un ke shikve ab kahāñ
ab to ye bāteñ bhī ai dil ho ga.iiñ aa.ī ga.ī
un ka gham un ka tasawwur un ke shikwe ab kahan
ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai
-
Tags : Ishqand 5 more
ġham se bikhrā na pā.emāl huā
maiñ to ġham se hī be-misāl huā
gham se bikhra na paemal hua
main to gham se hi be-misal hua
mujhe ḳhabar nahīñ ġham kyā hai aur ḳhushī kyā hai
ye zindagī kī hai sūrat to zindagī kyā hai
mujhe KHabar nahin gham kya hai aur KHushi kya hai
ye zindagi ki hai surat to zindagi kya hai
-
Tags : Khushiand 1 more
ilāhī ek ġham-e-rozgār kyā kam thā
ki ishq bhej diyā jān-e-mubtalā ke liye
ilahi ek gham-e-rozgar kya kam tha
ki ishq bhej diya jaan-e-mubtala ke liye
-
Tags : Ishqand 1 more
ham ko kis ke ġham ne maarā ye kahānī phir sahī
kis ne toḌā dil hamārā ye kahānī phir sahī
hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi
kis ne toDa dil hamara ye kahani phir sahi
-
Tags : Famous shayariand 3 more
jam.a ham ne kiyā hai ġham dil meñ
is kā ab suud khaa.e jā.eñge
jama hum ne kiya hai gham dil mein
is ka ab sud khae jaenge
ġham mujhe dete ho auroñ kī ḳhushī ke vāste
kyuuñ bure bante ho tum nāhaq kisī ke vāste
you heap these sorrows onto me, why for other's sake?
For someone else, needlessly this blame why do you take?
gham mujhe dete ho auron ki KHushi ke waste
kyun bure bante ho tum nahaq kisi ke waste
you heap these sorrows onto me, why for other's sake?
For someone else, needlessly this blame why do you take?
-
Tag : Sawal
ashk-e-ġham dīda-e-pur-nam se sambhāle na ga.e
ye vo bachche haiñ jo maañ baap se paale na ga.e
ashk-e-gham dida-e-pur-nam se sambhaale na gae
ye wo bachche hain jo man bap se pale na gae
mirī zindagī pe na muskurā mujhe zindagī kā alam nahīñ
jise tere ġham se ho vāsta vo ḳhizāñ bahār se kam nahīñ
meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin
-
Tags : Bahaarand 2 more
ġham-e-dil ab kisī ke bas kā nahīñ
kyā davā kyā duā kare koī
gham-e-dil ab kisi ke bas ka nahin
kya dawa kya dua kare koi
-
Tags : Diland 1 more
dard o ġham dil kī tabī.at ban ga.e
ab yahāñ ārām hī ārām hai
the heart is accustomed to sorrow and pain
in lasting comfort now I can remain
dard o gham dil ki tabiat ban gae
ab yahan aaram hi aaram hai
the heart is accustomed to sorrow and pain
in lasting comfort now I can remain
-
Tags : Dardand 1 more
ġham hai āvāra akele meñ bhaTak jaatā hai
jis jagah rahiye vahāñ milte-milāte rahiye
gham hai aawara akele mein bhaTak jata hai
jis jagah rahiye wahan milte-milate rahiye
ġham kī tauhīn na kar ġham kī shikāyat kar ke
dil rahe yā na rahe azmat-e-ġham rahne de
belittle not these sorrows, of them do not complain
their glory be preserved, tho heart may not remain
gham ki tauhin na kar gham ki shikayat kar ke
dil rahe ya na rahe azmat-e-gham rahne de
belittle not these sorrows, of them do not complain
their glory be preserved, tho heart may not remain
ġham-e-hastī kā 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hote tak
save death, Asad what else release from this life of pain?
a Lamp must burn in every hue till dawn is there again
gham-e-hasti ka 'asad' kis se ho juz marg ilaj
shama har rang mein jalti hai sahar hote tak
save death, Asad what else release from this life of pain?
a Lamp must burn in every hue till dawn is there again
zindagī kitnī masarrat se guzartī yā rab
aish kī tarah agar ġham bhī gavārā hotā
zindagi kitni masarrat se guzarti ya rab
aish ki tarah agar gham bhi gawara hota
-
Tag : Zindagi
tum aziiz aur tumhārā ġham bhī aziiz
kis se kis kā gilā kare koī
tum aziz aur tumhaara gham bhi aziz
kis se kis ka gila kare koi
-
Tag : Shikwa
ġham kī duniyā rahe ābād 'shakīl'
muflisī meñ koī jāgīr to hai
gham ki duniya rahe aabaad 'shakil'
muflisi mein koi jagir to hai
-
Tag : Muflisi
dil gayā raunaq-e-hayāt ga.ī
ġham gayā saarī kā.enāt ga.ī
dil gaya raunaq-e-hayat gai
gham gaya sari kaenat gai
-
Tag : Dil
kaun kisī kā ġham khātā hai
kahne ko ġham-ḳhvār hai duniyā
kaun kisi ka gham khata hai
kahne ko gham-KHwar hai duniya
vo bhalā kaise batā.e ki ġham-e-hijr hai kyā
jis ko āġhosh-e-mohabbat kabhī hāsil na huā
wo bhala kaise batae ki gham-e-hijr hai kya
jis ko aaghosh-e-mohabbat kabhi hasil na hua
hazār tarah ke the ranj pichhle mausam meñ
par itnā thā ki koī saath rone vaalā thā
hazar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itna tha ki koi sath rone wala tha
dil dabā jaatā hai kitnā aaj ġham ke baar se
kaisī tanhā.ī Tapaktī hai dar o dīvār se
TRANSLATION
Today heart is pressed by the weight of anguish,
From the door and the walls such loneliness drips.
Sagar Akbarabadi
dil daba jata hai kitna aaj gham ke bar se
kaisi tanhai Tapakti hai dar o diwar se
TRANSLATION
Today heart is pressed by the weight of anguish,
From the door and the walls such loneliness drips.
Sagar Akbarabadi
-
Tags : Diland 1 more