Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Bechaini

Impatience is a state

of our being that does not allow us to live at peace. It could be caused by a variety of reasons. Poets have often talked of impatient lovers and produced poetry that annotates love-life with great sensitivity. We have a selection of verses here on this condition of our lives.

hameñ bhī niiñd aa jā.egī ham bhī so jā.eñge

abhī kuchh be-qarārī hai sitāro tum to so jaao

hamein bhi nind aa jaegi hum bhi so hi jaenge

abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao

Qateel Shifai

bechain is qadar thā ki soyā na raat bhar

palkoñ se likh rahā thā tirā naam chāñd par

bechain is qadar tha ki soya na raat bhar

palkon se likh raha tha tera nam chand par

Unknown

aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabrātā huuñ maiñ

jaise har shai meñ kisī shai kamī paatā huuñ maiñ

aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main

jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main

Jigar Moradabadi

ham ko na mil sakā to faqat ik sukūn-e-dil

ai zindagī vagarna zamāne meñ kyā na thā

hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil

ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha

Azad Ansari

na kar 'saudā' shikva ham se dil be-qarārī

mohabbat kis ko detī hai miyāñ ārām duniyā meñ

na kar 'sauda' tu shikwa hum se dil ki be-qarari ka

mohabbat kis ko deti hai miyan aaram duniya mein

Mohammad Rafi Sauda

tujh ko kar bhī na kam ho sakī be-tābī-e-dil

itnā āsān tire ishq ġham thā nahīñ

tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil

itna aasan tere ishq ka gham tha hi nahin

Firaq Gorakhpuri

lagtā nahīñ hai dil mirā ujḌe dayār meñ

kis banī hai ālam-e-nā-pā.edār meñ

my heart, these dismal ruins, cannot now placate

who can find sustenance in this unstable state

lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein

kis ki bani hai aalam-e-na-paedar mein

my heart, these dismal ruins, cannot now placate

who can find sustenance in this unstable state

Bahadur Shah Zafar

bichhaḌ ga.e to ye dil umr bhar lagegā nahīñ

lagegā lagne lagā hai magar lagegā nahīñ

bichhaD gae to ye dil umr bhar lagega nahin

lagega lagne laga hai magar lagega nahin

Umair Najmi

bhole ban kar haal na pūchh bahte haiñ ashk to bahne do

jis se baḌhe bechainī dil aisī tasallī rahne do

bhole ban kar haal na puchh bahte hain ashk to bahne do

jis se baDhe bechaini dil ki aisi tasalli rahne do

Arzoo Lakhnavi

ro.e baġhair chāra na rone taab hai

kyā chiiz uf ye kaifiyat-e-iztirāb hai

roe baghair chaara na rone ki tab hai

kya chiz uf ye kaifiyat-e-iztirab hai

Akhtar Ansari

dil ko ḳhudā yaad tale bhī dabā chukā

kam-baḳht phir bhī chain na paa.e to kyā karūñ

dil ko KHuda ki yaad tale bhi daba chuka

kam-baKHt phir bhi chain na pae to kya karun

Hafeez Jalandhari

kuchh mohabbat ko na thā chain se rakhnā manzūr

aur kuchh un ināyāt ne jiine na diyā

kuchh mohabbat ko na tha chain se rakhna manzur

aur kuchh un ki inayat ne jine na diya

Kaif Bhopali

ishq meñ be-tābiyāñ hotī haiñ lekin ai 'hasan'

jis qadar bechain tum ho us qadar koī na ho

ishq mein be-tabiyan hoti hain lekin ai 'hasan'

jis qadar bechain tum ho us qadar koi na ho

Hasan Barelvi

kisī pahlū nahīñ chain aatā hai ushshāq ko tere

taḌapte haiñ fuġhāñ karte haiñ aur karvaT badalte haiñ

kisi pahlu nahin chain aata hai ushshaq ko tere

taDapte hain fughan karte hain aur karwaT badalte hain

Bhartendu Harishchandra

aah qāsid to ab talak na phirā

dil dhaḌaktā hai kyā huā hogā

aah qasid to ab talak na phira

dil dhaDakta hai kya hua hoga

Meer Mohammadi Bedar

batā.eñ kyā ki bechainī baḌhāte haiñ vahī aa kar

bahut bechain ham jin ke liye ma.alūm hote haiñ

bataen kya ki bechaini baDhate hain wahi aa kar

bahut bechain hum jin ke liye malum hote hain

Muzaffar Hanfi

mere dil ne dekhā hai yuuñ bhī un ko uljhan meñ

baar baar kamre meñ baar baar āñgan meñ

mere dil ne dekha hai yun bhi un ko uljhan mein

bar bar kamre mein bar bar aangan mein

Kaif Bhopali

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now