Sher on Zindagi
Life is simply indefinable;
it presents itself in many more ways than human beings can comprehend. Similarly, the representations of life in poetry are as varied as are our perceptions with regard to life. This small selection of verses on life is only a few of those approaches to human existence which distinguish life for all its splendor and beauty.
gañvā.ī kis kī tamannā meñ zindagī maiñ ne
vo kaun hai jise dekhā nahīñ kabhī maiñ ne
ganwai kis ki tamanna mein zindagi main ne
wo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne
-
Tag : Tamanna
aa.e Thahre aur ravāna ho ga.e
zindagī kyā hai, safar kī baat hai
aae Thahre aur rawana ho gae
zindagi kya hai, safar ki baat hai
-
Tag : Safar
ham ko bhī ḳhush-numā nazar aa.ī hai zindagī
jaise sarāb duur se dariyā dikhā.ī de
hum ko bhi KHush-numa nazar aai hai zindagi
jaise sarab dur se dariya dikhai de
zindagī! tujh sā munāfiq bhī koī kyā hogā
terā shahkār huuñ aur terā hī maarā huā huuñ
zindagi! tujh sa munafiq bhi koi kya hoga
tera shahkar hun aur tera hi mara hua hun
māñgī thī ek baar duā ham ne maut kī
sharminda aaj tak haiñ miyāñ zindagī se ham
Once upon a time for death I did pray
I am ashamed of life my friend to this very day
mangi thi ek bar dua hum ne maut ki
sharminda aaj tak hain miyan zindagi se hum
Once upon a time for death I did pray
I am ashamed of life my friend to this very day
-
Tags : Duaand 1 more
ahl-e-dil ke vāste paiġhām ho kar rah ga.ī
zindagī majbūriyoñ kā naam ho kar rah ga.ī
ahl-e-dil ke waste paigham ho kar rah gai
zindagi majburiyon ka nam ho kar rah gai
maut se pahle jahāñ meñ chand sāñsoñ kā azaab
zindagī jo qarz terā thā adā kar aa.e haiñ
maut se pahle jahan mein chand sanson ka azab
zindagi jo qarz tera tha ada kar aae hain
-
Tag : Maut
zindagī jab azaab hotī hai
āshiqī kāmyāb hotī hai
zindagi jab azab hoti hai
aashiqi kaamyab hoti hai
zindagī phailī huī thī shām-e-hijrāñ kī tarah
kis ko itnā hausla thā kaun jī kar dekhtā
zindagi phaili hui thi sham-e-hijran ki tarah
kis ko itna hausla tha kaun ji kar dekhta
zindagī mahv-e-ḳhud-ārā.ī thī
aañkh uThā kar bhī na dekhā ham ne
zindagi mahw-e-KHud-arai thi
aankh uTha kar bhi na dekha hum ne
sair kar duniyā kī ġhāfil zindagānī phir kahāñ
zindagī gar kuchh rahī to ye javānī phir kahāñ
sair kar duniya ki ghafil zindagani phir kahan
zindagi gar kuchh rahi to ye jawani phir kahan
-
Tags : Famous shayariand 3 more
ik muamma hai samajhne kā na samjhāne kā
zindagī kaahe ko hai ḳhvāb hai dīvāne kā
ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka
zindagi kahe ko hai KHwab hai diwane ka
-
Tag : Khwab
zindagī kī bisāt par 'bāqī'
maut kī ek chaal haiñ ham log
zindagi ki bisat par 'baqi'
maut ki ek chaal hain hum log
niiñd ko log maut kahte haiñ
ḳhvāb kā naam zindagī bhī hai
nind ko log maut kahte hain
KHwab ka nam zindagi bhi hai
-
Tags : Khwaband 2 more
ḳhvāboñ par iḳhtiyār na yādoñ pe zor hai
kab zindagī guzārī hai apne hisāb meñ
KHwabon par iKHtiyar na yaadon pe zor hai
kab zindagi guzari hai apne hisab mein
-
Tags : Khwaband 1 more
dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se
chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se
dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se
chehre tamam lagne lage hain ajib se
-
Tag : Duniya
ek siitā kī rifāqat hai to sab kuchh paas hai
zindagī kahte haiñ jis ko raam kā ban-bās hai
ek sita ki rifaqat hai to sab kuchh pas hai
zindagi kahte hain jis ko ram ka ban-bas hai
zindagī kyā hai anāsir meñ zuhūr-e-tartīb
maut kyā hai inhīñ ajzā kā pareshāñ honā
zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib
maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona
-
Tags : Anaasirand 2 more
zindagī ik savāl hai jis kā javāb maut hai
maut bhī ik savāl hai jis kā javāb kuchh nahīñ
zindagi ek sawal hai jis ka jawab maut hai
maut bhi ek sawal hai jis ka jawab kuchh nahin
-
Tags : Mautand 1 more
zindagī kyā hai ik kahānī hai
ye kahānī nahīñ sunānī hai
zindagi kya hai ek kahani hai
ye kahani nahin sunani hai
zindagī kam paḌhe pardesī kā ḳhat hai 'ibrat'
ye kisī tarah paḌhā jaa.e na samjhā jaa.e
zindagi kam paDhe pardesi ka KHat hai 'ibrat'
ye kisi tarah paDha jae na samjha jae
maut hī insān kī dushman nahīñ
zindagī bhī jaan le kar jā.egī
maut hi insan ki dushman nahin
zindagi bhi jaan le kar jaegi
vaqt se lamha lamha khelī hai
zindagī ik ajab pahelī hai
waqt se lamha lamha kheli hai
zindagi ek ajab paheli hai
jo paḌhā hai use jiinā hī nahīñ hai mumkin
zindagī ko maiñ kitāboñ se alag rakhtā huuñ
jo paDha hai use jina hi nahin hai mumkin
zindagi ko main kitabon se alag rakhta hun
-
Tag : Kitab
log marte bhī haiñ jiite bhī haiñ betāb bhī haiñ
kaun sā sehr tirī chashm-e-ināyat meñ nahīñ
log marte bhi hain jite bhi hain betab bhi hain
kaun sa sehr teri chashm-e-inayat mein nahin
hayāt laakh ho faanī magar ye sun rakhiye
hayāt se jo hai maqsūd ġhair-fānī hai
hayat lakh ho fani magar ye sun rakhiye
hayat se jo hai maqsud ghair-fani hai
kuchh aur tarah kī mushkil meñ Dālne ke liye
maiñ apnī zindagī āsān karne vaalā huuñ
kuchh aur tarah ki mushkil mein Dalne ke liye
main apni zindagi aasan karne wala hun
ḳhudā ābād rakkhe zindagī ko
hamārī ḳhāmushī ko sah ga.ī hai
KHuda aabaad rakkhe zindagi ko
hamari KHamushi ko sah gai hai
zindagī kyā hai aaj ise ai dost
soch leñ aur udaas ho jaa.eñ
zindagi kya hai aaj ise ai dost
soch len aur udas ho jaen
-
Tag : Famous shayari
hichkiyoñ par ho rahā hai zindagī kā raag ḳhatm
jhaTke de kar taar toḌe jā rahe haiñ saaz ke
hichkiyon par ho raha hai zindagi ka rag KHatm
jhaTke de kar tar toDe ja rahe hain saz ke
ai adam ke musāfiro hoshiyār
raah meñ zindagī khaḌī hogī
ai adam ke musafiro hoshiyar
rah mein zindagi khaDi hogi
-
Tag : Musafir
hayāt aaj bhī kanīz hai huzūr-e-jabr meñ
jo zindagī ko jiit le vo zindagī kā mard hai
hayat aaj bhi kaniz hai huzur-e-jabr mein
jo zindagi ko jit le wo zindagi ka mard hai
janam janam ke sātoñ dukh haiñ us ke māthe par tahrīr
apnā aap miTānā hogā ye tahrīr miTāne meñ
janam janam ke saton dukh hain us ke mathe par tahrir
apna aap miTana hoga ye tahrir miTane mein
zindagī chhīn le baḳhshī huī daulat apnī
tū ne ḳhvāboñ ke sivā mujh ko diyā bhī kyā hai
zindagi chhin le baKHshi hui daulat apni
tu ne KHwabon ke siwa mujh ko diya bhi kya hai
ik zindagī amal ke liye bhī nasīb ho
ye zindagī to nek irādoñ meñ kaT ga.ī
ek zindagi amal ke liye bhi nasib ho
ye zindagi to nek iradon mein kaT gai
pahlā qadam hī āḳhirī ziine pe rakh diyā
yā'nī jo dil kā bojh thā siine pe rakh diyā
pahla qadam hi aaKHiri zine pe rakh diya
ya'ni jo dil ka bojh tha sine pe rakh diya
mirī mohabbat meñ saarī duniyā ko ik khilaunā banā diyā hai
ye zindagī ban ga.ī hai maañ aur mujh ko bachcha banā diyā hai
meri mohabbat mein sari duniya ko ek khilauna bana diya hai
ye zindagi ban gai hai man aur mujh ko bachcha bana diya hai
yahī hai zindagī kuchh ḳhvāb chand ummīdeñ
inhīñ khilaunoñ se tum bhī bahal sako to chalo
yahi hai zindagi kuchh KHwab chand ummiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
-
Tags : Khwaband 1 more
'mīr' amdan bhī koī martā hai
jaan hai to jahān hai pyāre
'mir' amdan bhi koi marta hai
jaan hai to jahan hai pyare
-
Tags : Famous shayariand 1 more
shām-e-mimbar par fazīlat ke bahut sanjīda farhāñ
sub.h-dam afsurdagī ke farsh par bikhrā huā maiñ
sham-e-mimbar par fazilat ke bahut sanjida farhan
subh-dam afsurdagi ke farsh par bikhra hua main
-
Tag : Insaan
kitnī sachchā.ī se mujh se zindagī ne kah diyā
tū nahīñ merā to koī dūsrā ho jā.egā
kitni sachchai se mujh se zindagi ne kah diya
tu nahin mera to koi dusra ho jaega
har nafas umr-e-guzishta kī hai mayyat 'fānī'
zindagī naam hai mar mar ke jiye jaane kā
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'
zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka
is tarah zindagī ne diyā hai hamārā saath
jaise koī nibāh rahā ho raqīb se
is tarah zindagi ne diya hai hamara sath
jaise koi nibah raha ho raqib se
-
Tags : Famous shayariand 1 more
be-ta.alluq zindagī achchhī nahīñ
zindagī kyā maut bhī achchhī nahīñ
be-talluq zindagi achchhi nahin
zindagi kya maut bhi achchhi nahin
-
Tag : Maut
kabhī khole to kabhī zulf ko bikhrā.e hai
zindagī shaam hai aur shaam Dhalī jaa.e hai
kabhi khole to kabhi zulf ko bikhrae hai
zindagi sham hai aur sham Dhali jae hai
-
Tag : Zulf
masarrat zindagī kā dūsrā naam
masarrat kī tamannā mustaqil ġham
masarrat zindagi ka dusra nam
masarrat ki tamanna mustaqil gham
-
Tags : Ghamand 1 more
zindagī ham se chāhtī kyā hai
chāhtī kyā hai zindagī ham se
zindagi hum se chahti kya hai
chahti kya hai zindagi hum se
-
Tag : Jumbled words
ishq ke mazmūñ the jin meñ vo risāle kyā hue
ai kitāb-e-zindagī tere havāle kyā hue
ishq ke mazmun the jin mein wo risale kya hue
ai kitab-e-zindagi tere hawale kya hue