Sher on Kitab
It appears rather unlikely
and also un-poetic that poets should make books the subject of their poetry. Books have been compared with the face of the beloved but also treated as a metaphor of light that illuminates our lives. More than anything physical, it has also appeared as a symbol. Enter into this amazing world of books and discovers what it intends to offer.
dhuup meñ niklo ghaTāoñ meñ nahā kar dekho
zindagī kyā hai kitāboñ ko haTā kar dekho
dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko haTa kar dekho
-
Tags : Motivationaland 1 more
ye ilm kā saudā ye risāle ye kitābeñ
ik shaḳhs kī yādoñ ko bhulāne ke liye haiñ
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
ek shaKHs ki yaadon ko bhulane ke liye hain
-
Tags : Ilmand 1 more
kis tarah jamā kījiye ab apne aap ko
kāġhaz bikhar rahe haiñ purānī kitāb ke
kis tarah jama kijiye ab apne aap ko
kaghaz bikhar rahe hain purani kitab ke
-
Tag : Zindagi
kāġhaz meñ dab ke mar ga.e kiiḌe kitāb ke
dīvāna be-paḌhe-likhe mash.hūr ho gayā
kaghaz mein dab ke mar gae kiDe kitab ke
diwana be-paDhe-likhe mashhur ho gaya
khaḌā huuñ aaj bhī roTī ke chaar harf liye
savāl ye hai kitāboñ ne kyā diyā mujh ko
khaDa hun aaj bhi roTi ke chaar harf liye
sawal ye hai kitabon ne kya diya mujh ko
-
Tags : Muflisiand 1 more
qabroñ meñ nahīñ ham ko kitāboñ meñ utāro
ham log mohabbat kī kahānī meñ mareñ haiñ
qabron mein nahin hum ko kitabon mein utaro
hum log mohabbat ki kahani mein maren hain
ek charāġh aur ek kitāb aur ek ummīd asāsa
us ke ba.ad to jo kuchh hai vo sab afsāna hai
ek charagh aur ek kitab aur ek ummid asasa
us ke baad to jo kuchh hai wo sab afsana hai
-
Tags : Charaghand 1 more
kitābeñ bhī bilkul merī tarah haiñ
alfāz se bharpūr magar ḳhāmosh
kitaben bhi bilkul meri tarah hain
alfaz se bharpur magar KHamosh
tujhe kitāb se mumkin nahīñ farāġh ki tū
kitāb-ḳhvāñ hai magar sāhib-e-kitāb nahīñ
tujhe kitab se mumkin nahin faragh ki tu
kitab-KHwan hai magar sahib-e-kitab nahin
kabhī āñkheñ kitāb meñ gum haiñ
kabhī gum hai kitāb āñkhoñ meñ
kabhi aankhen kitab mein gum hain
kabhi gum hai kitab aankhon mein
kidhar se barq chamaktī hai dekheñ ai vaa.iz
maiñ apnā jaam uThātā huuñ tū kitāb uThā
where does lightening strike, priest, let us look
I will raise my glass you raise your holy book
kidhar se barq chamakti hai dekhen ai waiz
main apna jam uThata hun tu kitab uTha
where does lightening strike, priest, let us look
I will raise my glass you raise your holy book
-
Tags : Sharaband 1 more
kuchh aur sabaq ham ko zamāne ne sikhā.e
kuchh aur sabaq ham ne kitāboñ meñ paḌhe the
kuchh aur sabaq hum ko zamane ne sikhae
kuchh aur sabaq hum ne kitabon mein paDhe the
vahī firāq kī bāteñ vahī hikāyat-e-vasl
na.ī kitāb kā ek ik varaq purānā thā
wahi firaq ki baaten wahi hikayat-e-wasl
nai kitab ka ek ek waraq purana tha
rahtā thā sāmne tirā chehra khulā huā
paḌhtā thā maiñ kitāb yahī har class meñ
rahta tha samne tera chehra khula hua
paDhta tha main kitab yahi har class mein
-
Tag : Chehra
chehra khulī kitāb hai unvān jo bhī do
jis ruḳh se bhī paḌhoge mujhe jaan jāoge
chehra khuli kitab hai unwan jo bhi do
jis ruKH se bhi paDhoge mujhe jaan jaoge
jo paḌhā hai use jiinā hī nahīñ hai mumkin
zindagī ko maiñ kitāboñ se alag rakhtā huuñ
jo paDha hai use jina hi nahin hai mumkin
zindagi ko main kitabon se alag rakhta hun
-
Tag : Zindagi
jism to ḳhaak hai aur ḳhaak meñ mil jā.egā
maiñ bahar-hāl kitāboñ meñ milūñgā tum ko
jism to KHak hai aur KHak mein mil jaega
main bahar-haal kitabon mein milunga tum ko
bārūd ke badle hāthoñ meñ aa jaa.e kitāb to achchhā ho
ai kaash hamārī āñkhoñ kā ikkīsvāñ ḳhvāb to achchhā ho
barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho
ai kash hamari aankhon ka ikkiswan KHwab to achchha ho
-
Tags : Fasadand 1 more
bhulā diiñ ham ne kitābeñ ki us parī-rū ke
kitābī chehre ke aage kitāb hai kyā chiiz
bhula din hum ne kitaben ki us pari-ru ke
kitabi chehre ke aage kitab hai kya chiz
-
Tag : Chehra
khulī kitāb thī phūloñ-bharī zamīñ merī
kitāb merī thī rañg-e-kitāb us kā thā
khuli kitab thi phulon-bhari zamin meri
kitab meri thi rang-e-kitab us ka tha
maiñ us ke badan kī muqaddas kitāb
nihāyat aqīdat se paḌhtā rahā
main us ke badan ki muqaddas kitab
nihayat aqidat se paDhta raha
-
Tag : Badan
chhupī hai an-ginat chiñgāriyāñ lafzoñ ke dāman meñ
zarā paḌhnā ġhazal kī ye kitāb āhista āhista
chhupi hai an-ginat chingariyan lafzon ke daman mein
zara paDhna ghazal ki ye kitab aahista aahista
kamre meñ maze kī raushnī ho
achchhī sī koī kitāb dekhūñ
kamre mein maze ki raushni ho
achchhi si koi kitab dekhun
vafā nazar nahīñ aatī kahīñ zamāne meñ
vafā kā zikr kitāboñ meñ dekh lete haiñ
wafa nazar nahin aati kahin zamane mein
wafa ka zikr kitabon mein dekh lete hain
sab kitāboñ ke khul ga.e ma.anī
jab se dekhī 'nazīr' dil kī kitāb
sab kitabon ke khul gae mani
jab se dekhi 'nazir' dil ki kitab
kitāb khol ke dekhūñ to aañkh rotī hai
varaq varaq tirā chehrā dikhā.ī detā hai
kitab khol ke dekhun to aankh roti hai
waraq waraq tera chehra dikhai deta hai
ulaT rahī thiiñ havā.eñ varaq varaq us kā
likhī ga.ī thī jo miTTī pe vo kitāb thā vo
ulaT rahi thin hawaen waraq waraq us ka
likhi gai thi jo miTTi pe wo kitab tha wo
-
Tag : Hawa
jise paḌhte to yaad aatā thā terā phuul sā chehra
hamārī sab kitāboñ meñ ik aisā baab rahtā thā
jise paDhte to yaad aata tha tera phul sa chehra
hamari sab kitabon mein ek aisa bab rahta tha
-
Tag : Chehra
mazmūn sūjhte haiñ hazāroñ na.e na.e
qāsid ye ḳhat nahīñ mire ġham kī kitāb hai
mazmun sujhte hain hazaron nae nae
qasid ye KHat nahin mere gham ki kitab hai
falsafe saare kitāboñ meñ ulajh kar rah ga.e
dars-gāhoñ meñ nisāboñ kī thakan baaqī rahī
falsafe sare kitabon mein ulajh kar rah gae
dars-gahon mein nisabon ki thakan baqi rahi
-
Tag : Teacher
rakh dī hai us ne khol ke ḳhud jism kī kitāb
saada varaq pe le koī manzar utaar de
rakh di hai us ne khol ke KHud jism ki kitab
sada waraq pe le koi manzar utar de
-
Tag : Badan
ye shā.irī ye kitābeñ ye āyateñ dil kī
nishāniyāñ ye sabhī tujh pe vārnā hoñgī
ye shairi ye kitaben ye aayaten dil ki
nishaniyan ye sabhi tujh pe warna hongi
-
Tag : Sher
kitāb-e-husn hai tū mil khulī kitāb kī tarah
yahī kitāb to mar mar ke maiñ ne azbar kī
kitab-e-husn hai tu mil khuli kitab ki tarah
yahi kitab to mar mar ke main ne azbar ki
har ik qayās haqīqat se dūr-tar niklā
kitāb kā na koī dars mo'tabar niklā
har ek qayas haqiqat se dur-tar nikla
kitab ka na koi dars mo'tabar nikla
bhale hī laakh havāloñ ke saath kahte haiñ
magar vo sirf kitāboñ kī baat kahte haiñ
bhale hi lakh hawalon ke sath kahte hain
magar wo sirf kitabon ki baat kahte hain
-
Tag : Tajraba
chuum luuñ maiñ varaq varaq us kā
tere chehre se jo kitāb mile
chum lun main waraq waraq us ka
tere chehre se jo kitab mile
-
Tag : Chehra
surḳhiyoñ meñ 'aib saare hāshiye meñ nekiyāñ
kyā kitāb-e-zindagī hai zindagī kī aaḌ meñ
surKHiyon mein 'aib sare hashiye mein nekiyan
kya kitab-e-zindagi hai zindagi ki aaD mein