Sher on Muflisi
May not poverty be your
fate but poverty has been the fate of many. It is a terrible state of being and calls for much courage to put up with it. These verses bring you close to the representation of this condition. The verses here help you appreciate the conditions of poverty and see how society considers a person subjected to a sorry state of living.
ghar lauT ke ro.eñge maañ baap akele meñ
miTTī ke khilaune bhī saste na the mele meñ
ghar lauT ke roenge man bap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
-
Tag : Mother
siyah-baḳhtī meñ kab koī kisī kā saath detā hai
ki tārīkī meñ saayā bhī judā rahtā hai insāñ se
siyah-baKHti mein kab koi kisi ka sath deta hai
ki tariki mein saya bhi juda rahta hai insan se
-
Tags : Famous shayariand 1 more
farishte aa kar un ke jism par ḳhushbū lagāte haiñ
vo bachche rail ke Dibboñ meñ jo jhāḌū lagāte haiñ
farishte aa kar un ke jism par KHushbu lagate hain
wo bachche rail ke Dibbon mein jo jhaDu lagate hain
khaḌā huuñ aaj bhī roTī ke chaar harf liye
savāl ye hai kitāboñ ne kyā diyā mujh ko
khaDa hun aaj bhi roTi ke chaar harf liye
sawal ye hai kitabon ne kya diya mujh ko
-
Tags : Kitaband 1 more
vo aksar din meñ bachchoñ ko sulā detī hai is Dar se
galī meñ phir khilaune bechne vaalā na aa jaa.e
wo aksar din mein bachchon ko sula deti hai is Dar se
gali mein phir khilaune bechne wala na aa jae
bhuuk chehroñ pe liye chāñd se pyāre bachche
bechte phirte haiñ galiyoñ meñ ġhubāre bachche
bhuk chehron pe liye chand se pyare bachche
bechte phirte hain galiyon mein ghubare bachche
-
Tag : Bachpan
aaj phir maañ mujhe māregī bahut rone par
aaj phir gaañv meñ aayā hai khilaune vaalā
aaj phir man mujhe maregi bahut rone par
aaj phir ganw mein aaya hai khilaune wala
eid kā din hai so kamre meñ paḌā huuñ 'aslam'
apne darvāze ko bāhar se muqaffal kar ke
eid ka din hai so kamre mein paDa hun 'aslam'
apne darwaze ko bahar se muqaffal kar ke
-
Tags : Eidand 1 more
bachchoñ kī fees un kī kitābeñ qalam davāt
merī ġharīb āñkhoñ meñ schōl chubh gayā
bachchon ki fees un ki kitaben qalam dawat
meri gharib aankhon mein school chubh gaya
jab chalī ThanDī havā bachcha ThiThur kar rah gayā
maañ ne apne la.al kī taḳhtī jalā dī raat ko
jab chali ThanDi hawa bachcha ThiThur kar rah gaya
man ne apne lal ki taKHti jala di raat ko
-
Tags : Motherand 1 more
jo mere gaañv ke khetoñ meñ bhuuk ugne lagī
mire kisānoñ ne shahroñ meñ naukrī kar lī
jo mere ganw ke kheton mein bhuk ugne lagi
mere kisanon ne shahron mein naukri kar li
-
Tags : Gaonand 1 more
ġharīb-e-shahr to faaqe se mar gayā 'ārif'
amīr-e-shahr ne hiire se ḳhud-kushī kar lī
gharib-e-shahr to faqe se mar gaya 'arif'
amir-e-shahr ne hire se KHud-kushi kar li
-
Tag : Khudkushi
sharm aatī hai ki us shahr meñ ham haiñ ki jahāñ
na mile bhiik to lākhoñ kā guzārā hī na ho
sharm aati hai ki us shahr mein hum hain ki jahan
na mile bhik to lakhon ka guzara hi na ho
us ke haath meñ ġhubbāre the phir bhī bachchā gum-sum thā
vo ġhubbāre bech rahā ho aisā bhī ho saktā hai
us ke hath mein ghubbare the phir bhi bachcha gum-sum tha
wo ghubbare bech raha ho aisa bhi ho sakta hai
biich saḌak ik laash paḌī thī aur ye likkhā thā
bhuuk meñ zahrīlī roTī bhī mīThī lagtī hai
bich saDak ek lash paDi thi aur ye likkha tha
bhuk mein zahrili roTi bhi miThi lagti hai
bhūke bachchoñ kī tasallī ke liye
maañ ne phir paanī pakāyā der tak
bhuke bachchon ki tasalli ke liye
man ne phir pani pakaya der tak
-
Tag : Mother
ġham kī duniyā rahe ābād 'shakīl'
muflisī meñ koī jāgīr to hai
gham ki duniya rahe aabaad 'shakil'
muflisi mein koi jagir to hai
-
Tag : Gham
muflisī sab bahār khotī hai
mard kā e'tibār khotī hai
muflisi sab bahaar khoti hai
mard ka e'tibar khoti hai
apne bachchoñ ko maiñ bātoñ meñ lagā letā huuñ
jab bhī āvāz lagātā hai khilaune vaalā
apne bachchon ko main baaton mein laga leta hun
jab bhi aawaz lagata hai khilaune wala
khilaunoñ kī dukāno rāstā do
mire bachche guzarnā chāhte haiñ
khilaunon ki dukano rasta do
mere bachche guzarna chahte hain
khilaunoñ ke liye bachche abhī tak jāgte hoñge
tujhe ai muflisī koī bahāna DhūñD lenā hai
khilaunon ke liye bachche abhi tak jagte honge
tujhe ai muflisi koi bahana DhunD lena hai
aayā hai ik rāh-numā ke istiqbāl ko ik bachcha
peT hai ḳhālī aañkh meñ hasrat hāthoñ meñ gul-dasta hai
aaya hai ek rah-numa ke istiqbaal ko ek bachcha
peT hai KHali aankh mein hasrat hathon mein gul-dasta hai
ġhurbat kī tez aag pe aksar pakā.ī bhuuk
ḳhush-hāliyoñ ke shahr meñ kyā kuchh nahīñ kiyā
ghurbat ki tez aag pe aksar pakai bhuk
KHush-haaliyon ke shahr mein kya kuchh nahin kiya
haTo kāñdhe se aañsū poñchh Daalo vo dekho rail-gāḌī aa rahī hai
maiñ tum ko chhoḌ kar hargiz na jaatā ġharībī mujh ko le kar jā rahī hai
haTo kandhe se aansu ponchh Dalo wo dekho rail-gaDi aa rahi hai
main tum ko chhoD kar hargiz na jata gharibi mujh ko le kar ja rahi hai
muflisoñ kī zindagī kā zikr kyā
muflisī kī maut bhī achchhī nahīñ
muflison ki zindagi ka zikr kya
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
maiñ ojhal ho ga.ī maañ kī nazar se
galī meñ jab koī bārāt aa.ī
main ojhal ho gai man ki nazar se
gali mein jab koi baraat aai
jur.at-e-shauq to kyā kuchh nahīñ kahtī lekin
paañv phailāne nahīñ detī hai chādar mujh ko
jurat-e-shauq to kya kuchh nahin kahti lekin
panw phailane nahin deti hai chadar mujh ko
muflisī bhuuk ko shahvat se milā detī hai
gandumī lams meñ hai zā.iqa-e-nān-e-javīñ
muflisi bhuk ko shahwat se mila deti hai
gandumi lams mein hai zaiqa-e-nan-e-jawin
maiñ 'zafar' tā-zindagī biktā rahā pardes meñ
apnī ghar-vālī ko ik kañgan dilāne ke liye
main 'zafar' ta-zindagi bikta raha pardes mein
apni ghar-wali ko ek kangan dilane ke liye
apnī ġhurbat kī kahānī ham sunā.eñ kis tarah
raat phir bachcha hamārā rote rote so gayā
apni ghurbat ki kahani hum sunaen kis tarah
raat phir bachcha hamara rote rote so gaya
be-zarī fāqa-kashī muflisī be-sāmānī
ham faqīroñ ke bhī haañ kuchh nahīñ aur sab kuchh hai
be-zari faqa-kashi muflisi be-samani
hum faqiron ke bhi han kuchh nahin aur sab kuchh hai
jab aayā iid kā din ghar meñ bebasī kī tarah
to mere phuul se bachchoñ ne mujh ko gher liyā
jab aaya id ka din ghar mein bebasi ki tarah
to mere phul se bachchon ne mujh ko gher liya
-
Tag : Eid
duniyā meñ ġharīboñ ko do kaam hī aate haiñ
khāne ke liye jiinā jiine ke liye khānā
duniya mein gharibon ko do kaam hi aate hain
khane ke liye jina jine ke liye khana
ab zamīnoñ ko bichhā.e ki falak ko oḌhe
muflisī to bharī barsāt meñ be-ghar huī hai
ab zaminon ko bichhae ki falak ko oDhe
muflisi to bhari barsat mein be-ghar hui hai
ġharīboñ par to mausam bhī hukūmat karte rahte haiñ
kabhī bārish kabhī garmī kabhī ThanDak kā qabza hai
gharibon par to mausam bhi hukumat karte rahte hain
kabhi barish kabhi garmi kabhi ThanDak ka qabza hai
muflisī hiss-e-latāfat ko miTā detī hai
bhuuk ādāb ke sāñchoñ meñ nahīñ Dhal saktī
muflisi hiss-e-latafat ko miTa deti hai
bhuk aadab ke sanchon mein nahin Dhal sakti
bhaTaktī hai havas din-rāt sone kī dukānoñ meñ
ġharībī kaan chhidvātī hai tinkā Daal detī hai
bhaTakti hai hawas din-raat sone ki dukanon mein
gharibi kan chhidwati hai tinka Dal deti hai
muflisī siiñ ab zamāne kā rahā kuchh haal na.iiñ
āsmāñ charḳhī ke juuñ phirtā hai lekin maal na.iiñ
muflisi sin ab zamane ka raha kuchh haal nain
aasman charKHi ke jun phirta hai lekin mal nain
muflisī meñ mizāj shāhāna
kis maraz kī davā kare koī
muflisi mein mizaj shahana
kis maraz ki dawa kare koi
do-shāla shaal kashmīrī amīroñ ko mubārak ho
galīm-e-kohna meñ jaaḌā faqīroñ kā basar hogā
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubarak ho
galim-e-kohna mein jaDa faqiron ka basar hoga
ham hasīn ġhazloñ se peT bhar nahīñ sakte
daulat-e-suḳhan le kar be-farāġh haiñ yaaro
hum hasin ghazlon se peT bhar nahin sakte
daulat-e-suKHan le kar be-faragh hain yaro
dev parī ke qisse sun kar
bhūke bachche so lete haiñ
dew pari ke qisse sun kar
bhuke bachche so lete hain
chaman meñ ḳhushk-sālī par hai ḳhush sayyād ki ab ḳhud
parinde peT kī ḳhātir asīr-e-dām hote haiñ
chaman mein KHushk-sali par hai KHush sayyaad ki ab KHud
parinde peT ki KHatir asir-e-dam hote hain
-
Tag : Sayyad