Sher on Mother
Mother is also a beloved
in poetry. She has figured abundantly in poetry and in as many ways as one may possibly image. We have made a selection on the figure of the mother who emerges now as an image, now a metaphor, and now a myth. Get into these verses and enjoy the warmth of motherly love and compassion.
chaltī phirtī huī ā.ankhoñ se azaañ dekhī hai
maiñ ne jannat to nahīñ dekhī hai maañ dekhī hai
chalti phirti hui aaankhon se azan dekhi hai
main ne jannat to nahin dekhi hai man dekhi hai
ek muddat se mirī maañ nahīñ soī 'tābish'
maiñ ne ik baar kahā thā mujhe Dar lagtā hai
ek muddat se meri man nahin soi 'tabish'
main ne ek bar kaha tha mujhe Dar lagta hai
-
Tag : Aurat
abhī zinda hai maañ merī mujhe kuchh bhī nahīñ hogā
maiñ ghar se jab nikaltā huuñ duā bhī saath chaltī hai
abhi zinda hai man meri mujhe kuchh bhi nahin hoga
main ghar se jab nikalta hun dua bhi sath chalti hai
duā ko haat uThāte hue laraztā huuñ
kabhī duā nahīñ māñgī thī maañ ke hote hue
dua ko hat uThate hue larazta hun
kabhi dua nahin mangi thi man ke hote hue
-
Tags : Auratand 1 more
is tarah mere gunāhoñ ko vo dho detī hai
maañ bahut ġhusse meñ hotī hai to ro detī hai
is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai
man bahut ghusse mein hoti hai to ro deti hai
kisī ko ghar milā hisse meñ yā koī dukāñ aa.ī
maiñ ghar meñ sab se chhoTā thā mire hisse meñ maañ aa.ī
kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai
main ghar mein sab se chhoTa tha mere hisse mein man aai
ghar lauT ke ro.eñge maañ baap akele meñ
miTTī ke khilaune bhī saste na the mele meñ
ghar lauT ke roenge man bap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
-
Tag : Muflisi
jab bhī kashtī mirī sailāb meñ aa jaatī hai
maañ duā kartī huī ḳhvāb meñ aa jaatī hai
jab bhi kashti meri sailab mein aa jati hai
man dua karti hui KHwab mein aa jati hai
-
Tag : Dua
maañ kī duā na baap kī shafqat kā saayā hai
aaj apne saath apnā janam din manāyā hai
man ki dua na bap ki shafqat ka saya hai
aaj apne sath apna janam din manaya hai
maañ baap aur ustād sab haiñ ḳhudā kī rahmat
hai rok-Tok un kī haq meñ tumhāre ne.amat
man bap aur ustad sab hain KHuda ki rahmat
hai rok-Tok un ki haq mein tumhaare neamat
kal apne-āp ko dekhā thā maañ kī āñkhoñ meñ
ye ā.īna hameñ būḌhā nahīñ batātā hai
kal apne-ap ko dekha tha man ki aankhon mein
ye aaina hamein buDha nahin batata hai
tere dāman meñ sitāre haiñ to hoñge ai falak
mujh ko apnī maañ kī mailī oḌhnī achchhī lagī
tere daman mein sitare hain to honge ai falak
mujh ko apni man ki maili oDhni achchhi lagi
barbād kar diyā hameñ pardes ne magar
maañ sab se kah rahī hai ki beTā maze meñ hai
barbaad kar diya hamein pardes ne magar
man sab se kah rahi hai ki beTa maze mein hai
maañ kī āġhosh meñ kal maut kī āġhosh meñ aaj
ham ko duniyā meñ ye do vaqt suhāne se mile
man ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj
hum ko duniya mein ye do waqt suhane se mile
-
Tags : Mautand 1 more
ye aisā qarz hai jo maiñ adā kar hī nahīñ saktā
maiñ jab tak ghar na lauTūñ merī maañ sajde meñ rahtī hai
ye aisa qarz hai jo main ada kar hi nahin sakta
main jab tak ghar na lauTun meri man sajde mein rahti hai
muddatoñ ba.ad mayassar huā maañ kā āñchal
muddatoñ ba.ad hameñ niiñd suhānī aa.ī
muddaton baad mayassar hua man ka aanchal
muddaton baad hamein nind suhani aai
kitāboñ se nikal kar titliyāñ ġhazleñ sunātī haiñ
tiffin rakhtī hai merī maañ to basta muskurātā hai
kitabon se nikal kar titliyan ghazlen sunati hain
tiffin rakhti hai meri man to basta muskuraata hai
ghar kī is baar mukammal maiñ talāshī lūñgā
ġham chhupā kar mire maañ baap kahāñ rakhte the
ghar ki is bar mukammal main talashi lunga
gham chhupa kar mere man bap kahan rakhte the
ai raat mujhe maañ kī tarah god meñ le le
din bhar kī mashaqqat se badan TuuT rahā hai
ai raat mujhe man ki tarah god mein le le
din bhar ki mashaqqat se badan TuT raha hai
-
Tag : Raat
sab ne maanā marne vaalā dahshat-gard aur qātil thā
maañ ne phir bhī qabr pe us kī rāj-dulārā likkhā thā
sab ne mana marne wala dahshat-gard aur qatil tha
man ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha
-
Tag : Aurat
duur rahtī haiñ sadā un se balā.eñ sāhil
apne maañ baap kī jo roz duā lete haiñ
dur rahti hain sada un se balaen sahil
apne man bap ki jo roz dua lete hain
maiñ ne kal shab chāhatoñ kī sab kitābeñ phaaḌ deñ
sirf ik kāġhaz pe likkhā lafz-e-māñ rahne diyā
main ne kal shab chahaton ki sab kitaben phaD den
sirf ek kaghaz pe likkha lafz-e-man rahne diya
shahr meñ aa kar paḌhne vaale bhuul ga.e
kis kī maañ ne kitnā zevar bechā thā
shahr mein aa kar paDhne wale bhul gae
kis ki man ne kitna zewar becha tha
jab tak māthā chuum ke ruḳhsat karne vaalī zinda thī
darvāze ke bāhar tak bhī muñh meñ luqma hotā thā
jab tak matha chum ke ruKHsat karne wali zinda thi
darwaze ke bahar tak bhi munh mein luqma hota tha
baap ziina hai jo le jaatā hai ūñchā.ī tak
maañ duā hai jo sadā sāya-figan rahtī hai
bap zina hai jo le jata hai unchai tak
man dua hai jo sada saya-figan rahti hai
din bhar kī mashaqqat se badan chuur hai lekin
maañ ne mujhe dekhā to thakan bhuul ga.ī hai
din bhar ki mashaqqat se badan chur hai lekin
man ne mujhe dekha to thakan bhul gai hai
aaj phir maañ mujhe māregī bahut rone par
aaj phir gaañv meñ aayā hai khilaune vaalā
aaj phir man mujhe maregi bahut rone par
aaj phir ganw mein aaya hai khilaune wala
shahr ke raste hoñ chāhe gaañv kī pagDañDiyāñ
maañ kī uñglī thaam kar chalnā bahut achchhā lagā
shahr ke raste hon chahe ganw ki pagDanDiyan
man ki ungli tham kar chalna bahut achchha laga
bachche fareb khā ke chatā.ī pe so ga.e
ik maañ ubāltī rahī pathar tamām raat
bachche fareb kha ke chatai pe so gae
ek man ubaalti rahi pathar tamam raat
maañ ne likhā hai ḳhat meñ jahāñ jaao ḳhush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhūlnā
man ne likha hai KHat mein jahan jao KHush raho
mujh ko bhale na yaad karo ghar na bhulna
jab chalī ThanDī havā bachcha ThiThur kar rah gayā
maañ ne apne la.al kī taḳhtī jalā dī raat ko
jab chali ThanDi hawa bachcha ThiThur kar rah gaya
man ne apne lal ki taKHti jala di raat ko
-
Tags : Muflisiand 1 more
ek laḌkā shahr kī raunaq meñ sab kuchh bhuul jaa.e
ek buḌhiyā roz chaukhaT par diyā raushan kare
ek laDka shahr ki raunaq mein sab kuchh bhul jae
ek buDhiya roz chaukhaT par diya raushan kare
is liye chal na sakā koī bhī ḳhanjar mujh par
merī shah-rag pe mirī maañ kī duā rakkhī thī
is liye chal na saka koi bhi KHanjar mujh par
meri shah-rag pe meri man ki dua rakkhi thi
-
Tag : Dua
shāyad yūñhī simaT sakeñ ghar kī zarūrateñ
'tanvīr' maañ ke haath meñ apnī kamā.ī de
shayad yunhi simaT saken ghar ki zaruraten
'tanwir' man ke hath mein apni kamai de
raushnī bhī nahīñ havā bhī nahīñ
maañ kā nemul-badal ḳhudā bhī nahīñ
raushni bhi nahin hawa bhi nahin
man ka nemul-badal KHuda bhi nahin
maañ ḳhvāb meñ aa kar ye batā jaatī hai har roz
bosīda sī oḌhī huī is shaal meñ ham haiñ
man KHwab mein aa kar ye bata jati hai har roz
bosida si oDhi hui is shaal mein hum hain
sāmne maañ ke jo hotā huuñ to allāh allāh
mujh ko mahsūs ye hotā hai ki bachcha huuñ abhī
samne man ke jo hota hun to allah allah
mujh ko mahsus ye hota hai ki bachcha hun abhi
maañ mujhe dekh ke nārāz na ho jaa.e kahīñ
sar pe āñchal nahīñ hotā hai to Dar hotā hai
man mujhe dekh ke naraaz na ho jae kahin
sar pe aanchal nahin hota hai to Dar hota hai
bose biivī ke hañsī bachchoñ kī āñkheñ maañ kī
qaid-ḳhāne meñ giraftār samajhiye ham ko
bose biwi ke hansi bachchon ki aankhen man ki
qaid-KHane mein giraftar samajhiye hum ko
-
Tags : Kissand 1 more
bahan kī iltijā maañ kī mohabbat saath chaltī hai
vafā-e-dostāñ bahr-e-mashaqqat saath chaltī hai
bahan ki iltija man ki mohabbat sath chalti hai
wafa-e-dostan bahr-e-mashaqqat sath chalti hai
-
Tag : Raksha Bandhan
bhūke bachchoñ kī tasallī ke liye
maañ ne phir paanī pakāyā der tak
bhuke bachchon ki tasalli ke liye
man ne phir pani pakaya der tak
-
Tag : Muflisi
maiñ ne maañ kā libās jab pahnā
mujh ko titlī ne apne rañg diye
main ne man ka libas jab pahna
mujh ko titli ne apne rang diye
ghar se nikle hue beToñ kā muqaddar ma.alūm
maañ ke qadmoñ meñ bhī jannat nahīñ milne vaalī
ghar se nikle hue beTon ka muqaddar malum
man ke qadmon mein bhi jannat nahin milne wali
shaam Dhale ik vīrānī sī saath mire ghar jaatī hai
mujh se pūchho us kī hālat jis kī maañ mar jaatī hai
sham Dhale ek virani si sath mere ghar jati hai
mujh se puchho us ki haalat jis ki man mar jati hai
jis ne ik umr dī hai bachchoñ ko
us ke hisse meñ ek din aayā
jis ne ek umr di hai bachchon ko
us ke hisse mein ek din aaya
ab ik rūmāl mere saath kā hai
jo merī vālida ke haath kā hai
ab ek rumal mere sath ka hai
jo meri walida ke hath ka hai
vo lamha jab mire bachche ne maañ pukārā mujhe
maiñ ek shāḳh se kitnā ghanā daraḳht huī
wo lamha jab mere bachche ne man pukara mujhe
main ek shaKH se kitna ghana daraKHt hui
kis shafqat meñ guñdhe hue maulā maañ baap diye
kaisī pyārī rūhoñ ko merī aulād kiyā
kis shafqat mein gundhe hue maula man bap diye
kaisi pyari ruhon ko meri aulad kiya