Sher on Relationship
Relationships are of
as many kinds as are the human beings. There are many relationships that are real but there are others that are only imaginary. Both bring about pleasures of recognition and poetry does it in ways that we are less familiar with. So, here is a selection that brings you to appreciate the pleasures and disappointments in human relationships.
dushmanī laakh sahī ḳhatm na kiije rishta
dil mile yā na mile haath milāte rahiye
enmity however strong, the contact never break
hearts and minds may be apart, the hands must ever shake
dushmani lakh sahi KHatm na kije rishta
dil mile ya na mile hath milate rahiye
enmity however strong, the contact never break
hearts and minds may be apart, the hands must ever shake
-
Tags : Dushmaniand 2 more
dīvāreñ chhoTī hotī thiiñ lekin parda hotā thā
tāloñ kī ījād se pahle sirf bharosa hotā thā
diwaren chhoTi hoti thin lekin parda hota tha
talon ki ijad se pahle sirf bharosa hota tha
mirī taraf se to TuuTā nahīñ koī rishta
kisī ne toḌ diyā e'tibār TuuT gayā
meri taraf se to TuTa nahin koi rishta
kisi ne toD diya e'tibar TuT gaya
bose biivī ke hañsī bachchoñ kī āñkheñ maañ kī
qaid-ḳhāne meñ giraftār samajhiye ham ko
bose biwi ke hansi bachchon ki aankhen man ki
qaid-KHane mein giraftar samajhiye hum ko
-
Tags : Kissand 1 more
mujhe manzūr gar tark-e-ta'alluq hai razā terī
magar TūTegā rishta dard kā āhista āhista
mujhe manzur gar tark-e-ta'alluq hai raza teri
magar TuTega rishta dard ka aahista aahista
chalo kahīñ pe ta.alluq kī koī shakl to ho
kisī ke dil meñ kisī kī kamī ġhanīmat hai
chalo kahin pe talluq ki koi shakl to ho
kisi ke dil mein kisi ki kami ghanimat hai
sarhadeñ rok na pā.eñgī kabhī rishtoñ ko
ḳhushbūoñ par na kabhī koī bhī pahrā niklā
sarhaden rok na paengi kabhi rishton ko
KHushbuon par na kabhi koi bhi pahra nikla
ta.alluq kirchiyoñ kī shakl meñ bikhrā to hai phir bhī
shikasta ā.īnoñ ko joḌ denā chāhte haiñ ham
talluq kirchiyon ki shakl mein bikhra to hai phir bhi
shikasta aainon ko joD dena chahte hain hum