aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ateeq Allahabadi's Photo'

Ateeq Allahabadi

Allahabad, India

Ateeq Allahabadi

Ghazal 5

 

Sher-o-Shayari 6

hoñToñ par ik baar sajā kar apne hoñT

us ke baad na bāteñ karnā so jaanā

honTon par ek bar saja kar apne honT

us ke baad na baaten karna so jaana

dev parī ke qisse sun kar

bhūke bachche so lete haiñ

dew pari ke qisse sun kar

bhuke bachche so lete hain

navāztā thā hamesha vo ġham daulat se

aur is ḳhazāne se maiñ maalā maal ho gayā

nawazta tha hamesha wo gham ki daulat se

aur is KHazane se main mala mal ho hi gaya

ghar hamārā phūñk kar kal ik paḌosī ai 'atīq'

do ghaḌī to hañs liyā phir baad meñ royā bahut

ghar hamara phunk kar kal ek paDosi ai 'atiq'

do ghaDi to hans liya phir baad mein roya bahut

maiñ ne pūchhā ye batā mujh se bichhaḌne tujhe

kuchh qalaq hotā hai kyā us ne kahā thoḌā bahut

main ne puchha ye bata mujh se bichhaDne ka tujhe

kuchh qalaq hota hai kya us ne kaha thoDa bahut

BOOKS 6

 

More Poets From "Allahabad"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now