Naseer Ahmad Nasir
Ghazal 13
Nazm 14
Sher-o-Shayari 8
abhī vo aañkh bhī soī nahīñ hai
abhī vo ḳhvāb bhī jaagā huā hai
abhi wo aankh bhi soi nahin hai
abhi wo KHwab bhi jaga hua hai
-
Share this
- See Ghazal
ḳhamoshī jhāñktī hai khiḌkiyoñ se
galī meñ shor sā phailā huā hai
KHamoshi jhankti hai khiDkiyon se
gali mein shor sa phaila hua hai
-
Share this
- See Ghazal
raat bhar ḳhvāb dekhne vaale
din kī sachchā.iyoñ meñ chīḳh uThe
raat bhar KHwab dekhne wale
din ki sachchaiyon mein chiKH uThe
-
Share this
- See Ghazal
falsafe saare kitāboñ meñ ulajh kar rah ga.e
dars-gāhoñ meñ nisāboñ kī thakan baaqī rahī
falsafe sare kitabon mein ulajh kar rah gae
dars-gahon mein nisabon ki thakan baqi rahi
-
Share this
- See Ghazal
havā gum-sum khaḌī hai rāste meñ
musāfir soch meñ Duubā huā hai
hawa gum-sum khaDi hai raste mein
musafir soch mein Duba hua hai
-
Share this
- See Ghazal
Children's Story 1
BOOKS 30
Image Shayari 1
shab kii pahnaa.iyo.n me.n chiiKH uThe dard tanhaa.iyo.n me.n chiiKH uThe tah-ba-tah munjamid thakan jaagii jism a.ng.Daa.iyo.n me.n chiiKH uThe dhuup jab aa.iina-ba-dast aa.ii aks biinaa.iyo.n me.n chiiKH uThe mai.n samundar huu.n ko.ii tuu siipii merii gahraa.iyo.n me.n chiiKH uThe ratjage tan ga.e dariicho.n par KHvaab a.ngnaa.iyo.n me.n chiiKH uThe jab pahaa.Do.n pe barf girne lage ko.ii utraa.iyo.n me.n chiiKH uThe jab pukaaraa kisii musaafir ne raaste khaa.iiyo.n me.n chiiKH uThe kuchh KHamoshii se dekhte the mujhe kuchh tamaashaa.iyo.n me.n chiiKH uThe raat bhar KHvaab dekhne vaale din kii sachchaa.iyo.n me.n chiiKH uThe