Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Badan

Body and soul make us

complete. It is body, however, that is subject to ravages and the stock subject of poets who explore love, passion, and lust in all their manifestations. These poets think of body as a site of sin, of physical pleasure, as also of suffering that looks for balm. You may like to know how human body is more eloquent than souls sometimes and how poets appropriate this subject.

badan ke donoñ kināroñ se jal rahā huuñ maiñ

ki chhū rahā huuñ tujhe aur pighal rahā huuñ maiñ

badan ke donon kinaron se jal raha hun main

ki chhu raha hun tujhe aur pighal raha hun main

Irfan Siddiqi

uf vo marmar se tarāshā huā shaffāf badan

dekhne vaale use tāj-mahal kahte haiñ

uf wo marmar se tarasha hua shaffaf badan

dekhne wale use taj-mahal kahte hain

Qateel Shifai

kisī kalī kisī gul meñ kisī chaman meñ nahīñ

vo rañg hai nahīñ jo tire badan meñ nahīñ

kisi kali kisi gul mein kisi chaman mein nahin

wo rang hai hi nahin jo tere badan mein nahin

Farhat Ehsas

tujh koī jahān meñ nāzuk-badan kahāñ

ye pañkhuḌī se hoñT ye gul badan kahāñ

tujh sa koi jahan mein nazuk-badan kahan

ye pankhuDi se honT ye gul sa badan kahan

Lala Madhav Ram Jauhar

kaun badan se aage dekhe aurat ko

sab āñkheñ girvī haiñ is nagrī meñ

kaun badan se aage dekhe aurat ko

sab ki aankhen girwi hain is nagri mein

Hamida Shaheen

vo sāf-go hai magar baat hunar sīkhe

badan hasīñ hai to kyā be-libās aa.egā

wo saf-go hai magar baat ka hunar sikhe

badan hasin hai to kya be-libas aaega

Amardeep Singh

ik buuñd zahr ke liye phailā rahe ho haath

dekho kabhī ḳhud apne badan ko nichoḌ ke

ek bund zahr ke liye phaila rahe ho hath

dekho kabhi KHud apne badan ko nichoD ke

Shahryar

gūñdh ke goyā pattī gul vo tarkīb banā.ī hai

rañg badan tab dekho jab cholī bhīge pasīne meñ

gundh ke goya patti gul ki wo tarkib banai hai

rang badan ka tab dekho jab choli bhige pasine mein

Meer Taqi Meer

ḳhudā ke vāste gul ko na mere haath se lo

mujhe aatī hai is meñ kisī badan

KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo

mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si

Nazeer Akbarabadi

yaad aate haiñ mo.ajaze apne

aur us ke badan jaadū bhī

yaad aate hain moajaze apne

aur us ke badan ka jadu bhi

Jaun Eliya

rāsta de ki mohabbat meñ badan shāmil hai

maiñ faqat ruuh nahīñ huuñ mujhe halkā na samajh

rasta de ki mohabbat mein badan shamil hai

main faqat ruh nahin hun mujhe halka na samajh

Saqi Faruqi

ruuh ko ruuh se milne nahīñ detā hai badan

ḳhair ye biich dīvār girā chāhtī hai

ruh ko ruh se milne nahin deta hai badan

KHair ye bich ki diwar gira chahti hai

Irfan Siddiqi

maiñ us ke badan muqaddas kitāb

nihāyat aqīdat se paḌhtā rahā

main us ke badan ki muqaddas kitab

nihayat aqidat se paDhta raha

Mohammad Alvi

haa.e vo us mauj-ḳhez badan

maiñ to pyāsā rahā lab-e-jū bhī

hae wo us ka mauj-KHez badan

main to pyasa raha lab-e-ju bhi

Jaun Eliya

nūr-e-badan se phailī añdhere meñ chāñdnī

kapḌe jo us ne shab ko utāre palañg par

nur-e-badan se phaili andhere mein chandni

kapDe jo us ne shab ko utare palang par

Lala Madhav Ram Jauhar

kyā badan hai ki Thahartā nahīñ āñkhoñ meñ

bas yahī dekhtā rahtā huuñ ki ab kyā hogā

kya badan hai ki Thaharta hi nahin aankhon mein

bas yahi dekhta rahta hun ki ab kya hoga

Farhat Ehsas

sharm bhī ik tarah chorī hai

vo badan ko churā.e baiThe haiñ

sharm bhi ek tarah ki chori hai

wo badan ko churae baiThe hain

Anwar Dehlvi

magar giraft meñ aatā nahīñ badan us

ḳhayāl DhūñDhtā rahtā hai isti.āra koī

magar giraft mein aata nahin badan us ka

KHayal DhunDhta rahta hai istiara koi

Irfan Siddiqi

ab dekhtā huuñ maiñ to vo asbāb nahīñ

lagtā hai rāste meñ kahīñ khul gayā badan

ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin

lagta hai raste mein kahin khul gaya badan

Farhat Ehsas

vo apne husn ḳhairāt dene vaale haiñ

tamām jism ko kaasa banā ke chalnā hai

wo apne husn ki KHairaat dene wale hain

tamam jism ko kasa bana ke chalna hai

Ahmad Kamal Parwazi

rakh hai us ne khol ke ḳhud jism kitāb

saada varaq pe le koī manzar utaar de

rakh di hai us ne khol ke KHud jism ki kitab

sada waraq pe le koi manzar utar de

Prem Kumar Nazar

DhūñDtā huuñ maiñ zamīñ achchhī

ye badan jis meñ utārā jaa.e

DhunDta hun main zamin achchhi si

ye badan jis mein utara jae

Mohammad Alvi

maiñ terī manzil-e-jāñ tak pahuñch to saktā huñ

magar ye raah badan taraf se aatī hai

main teri manzil-e-jaan tak pahunch to sakta hun

magar ye rah badan ki taraf se aati hai

Irfan Siddiqi

añdherī rātoñ meñ dekh lenā

dikhā.ī degī badan ḳhushbū

andheri raaton mein dekh lena

dikhai degi badan ki KHushbu

Mohammad Alvi

chāhtā hai haath lagā kar bhī dekh leñ

us badan qabā hai ki us qabā badan

ji chahta hai hath laga kar bhi dekh len

us ka badan qaba hai ki us ki qaba badan

Prem Kumar Nazar

lagte haath ke jo khīñche hai ruuh tan se

kyā jāneñ kyā vo shai hai us ke badan ke andar

lagte hi hath ke jo khinche hai ruh tan se

kya jaanen kya wo shai hai us ke badan ke andar

Jurat Qalandar Bakhsh

tire badan ḳhalāoñ meñ aañkh khultī hai

havā ke jism se jab jab lipaT ke sotā huuñ

tere badan ki KHalaon mein aankh khulti hai

hawa ke jism se jab jab lipaT ke sota hun

Ameer Imam

kyā badan hogā ki jis ke kholte jaame band

barg-e-gul tarah har nāḳhun mo.attar ho gayā

kya badan hoga ki jis ke kholte jame ka band

barg-e-gul ki tarah har naKHun moattar ho gaya

Inamullah Khan Yaqeen

kyā sabab tere badan ke garm hone sajan

āshiqoñ meñ kaun jaltā thā gale kis ke lagā

kya sabab tere badan ke garm hone ka sajan

aashiqon mein kaun jalta tha gale kis ke laga

Abroo Shah Mubarak

chaman vahī ki jahāñ par laboñ ke phuul khileñ

badan vahī ki jahāñ raat ho gavārā bhī

chaman wahi ki jahan par labon ke phul khilen

badan wahi ki jahan raat ho gawara bhi

Asad Badayuni

kyā kyā badan-e-sāf nazar aate haiñ ham ko

kyā kyā shikam o naaf nazar aate haiñ ham ko

kya kya badan-e-saf nazar aate hain hum ko

kya kya shikam o naf nazar aate hain hum ko

Mushafi Ghulam Hamdani

ye be-kanār badan kaun paar kar paayā

bahe chale ga.e sab log is ravānī meñ

ye be-kanar badan kaun par kar paya

bahe chale gae sab log is rawani mein

Farhat Ehsas

badan pe pairahan-e-ḳhāk ke sivā kyā hai

mire alaav meñ ab raakh ke sivā kyā hai

badan pe pairahan-e-KHak ke siwa kya hai

mere alaw mein ab rakh ke siwa kya hai

Himayat Ali Shayar

bahut lambī masāfat hai badan

musāfir mubtadī thakne lagā hai

bahut lambi masafat hai badan ki

musafir mubtadi thakne laga hai

Prem Kumar Nazar

us vaqt jaan pyāre ham pāvate haiñ

lagtā hai jab badan se taire badan hamārā

us waqt jaan pyare hum pawate hain ji sa

lagta hai jab badan se taire badan hamara

Abroo Shah Mubarak

mohabbat ke Thikāne DhūñDhtī hai

badan lā-makānī mausamoñ meñ

mohabbat ke Thikane DhunDhti hai

badan ki la-makani mausamon mein

Naseer Ahmad Nasir

yuuñ hai Dalak badan us pairahan tah meñ

surḳhī badan jaise chhalke badan tah meñ

yun hai Dalak badan ki us pairahan ki tah mein

surKHi badan ki jaise chhalke badan ki tah mein

Mushafi Ghulam Hamdani

sard rātoñ taqāza thā badan jal jaa.e

phir vo ik aag jo siine se lagā.ī maiñ ne

sard raaton ka taqaza tha badan jal jae

phir wo ek aag jo sine se lagai main ne

Qamar Abbas Qamar

ye tiir yuuñ nahīñ dushmanoñ talak jaate

badan saarā khichāo kamāñ pe paḌtā hai

ye tir yun hi nahin dushmanon talak jate

badan ka sara khichao kaman pe paDta hai

Afzal Gauhar Rao

har ek saaz ko sāzindagāñ nahīñ darkār

badan ko zarbat-e-mizrāb se ilāqa nahīñ

har ek saz ko sazindagan nahin darkar

badan ko zarbat-e-mizrab se ilaqa nahin

Ziaul Mustafa Turk

chhalak rahī hai udāsī badan ke bartan se

ye bhar gayā hai mujhe dūsrā diyā jaa.e

chhalak rahi hai udasi badan ke bartan se

ye bhar gaya hai mujhe dusra diya jae

Asim Qamar
Speak Now