Sher on Rang
Life is colourful because
there are colours around—colours that attract our eyes and colours that beckon our imagination. Poets have used colours in many ways—sometimes as simple colours while at others as metaphors. Here are some examples for you.
tamām raat nahāyā thā shahr bārish meñ
vo rañg utar hī ga.e jo utarne vaale the
tamam raat nahaya tha shahr barish mein
wo rang utar hi gae jo utarne wale the
-
Tags : Barishand 1 more
kisī kalī kisī gul meñ kisī chaman meñ nahīñ
vo rañg hai hī nahīñ jo tire badan meñ nahīñ
kisi kali kisi gul mein kisi chaman mein nahin
wo rang hai hi nahin jo tere badan mein nahin
rañg darkār the ham ko tirī ḳhāmoshī ke
ek āvāz kī tasvīr banānī thī hameñ
rang darkar the hum ko teri KHamoshi ke
ek aawaz ki taswir banani thi hamein
-
Tags : Khamoshiand 1 more
lab-e-nāzuk ke bose luuñ to missī muñh banātī hai
kaf-e-pā ko agar chūmūñ to mehñdī rañg laatī hai
lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai
kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai
-
Tags : Kissand 1 more
ġhair se khelī hai holī yaar ne
Daale mujh par dīda-e-ḳhūñ-bār rañg
ghair se kheli hai holi yar ne
Dale mujh par dida-e-KHun-bar rang
-
Tags : Aansooand 2 more
ab kī holī meñ rahā be-kār rañg
aur hī laayā firāq-e-yār rañg
ab ki holi mein raha be-kar rang
aur hi laya firaq-e-yar rang
-
Tags : Hijrand 1 more
mujh ko ehsās-e-rañg-o-bū na huā
yuuñ bhī aksar bahār aa.ī hai
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yun bhi aksar bahaar aai hai
tumhāre rañg phīke paḌ ga.e naañ
mirī āñkhoñ kī vīrānī ke aage
tumhaare rang phike paD gae nan
meri aankhon ki virani ke aage
bahār aa.ī ki din holī ke aa.e
guloñ meñ rañg khelā jā rahā hai
bahaar aai ki din holi ke aae
gulon mein rang khela ja raha hai
-
Tags : Bahaarand 2 more
rañg hī se fareb khāte raheñ
ḳhushbueñ āzmānā bhuul ga.e
rang hi se fareb khate rahen
KHushbuen aazmana bhul gae
kis kī holī jashn-e-nau-rozī hai aaj
surḳh mai se sāqiyā dastār rañg
kis ki holi jashn-e-nau-rozi hai aaj
surKH mai se saqiya dastar rang
-
Tags : Holiand 1 more
vo rañg rañg ke chhīñTe paḌe ki us ke ba.ad
kabhī na phir na.e kapḌe pahan ke niklā maiñ
wo rang rang ke chhinTe paDe ki us ke baad
kabhi na phir nae kapDe pahan ke nikla main
-
Tags : Festivaland 1 more
hazār rañg-ba-dāmāñ sahī magar duniyā
bas ek silsila-e-etibār hai, kyā hai
hazar rang-ba-daman sahi magar duniya
bas ek silsila-e-etibar hai, kya hai
ujāloñ meñ chhupī thī ek laḌkī
falak kā rañg-roġhan kar ga.ī hai
ujalon mein chhupi thi ek laDki
falak ka rang-roghan kar gai hai
-
Tag : Falak
saañs letā huā har rang nazar aa.egā
tum kisī roz mire rang meñ aao to sahī
sans leta hua har rang nazar aaega
tum kisi roz mere rang mein aao to sahi
-
Tag : Holi
ajab bahār dikhā.ī lahū ke chhīñToñ ne
ḳhizāñ kā rañg bhī rañg-e-bahār jaisā thā
ajab bahaar dikhai lahu ke chhinTon ne
KHizan ka rang bhi rang-e-bahaar jaisa tha
kab tak chunarī par hī zulm hoñ rañgoñ ke
rañgreza terī bhī qabā par barse rañg
kab tak chunari par hi zulm hon rangon ke
rangreza teri bhi qaba par barse rang
-
Tag : Holi
tū bhī dekhegā zarā rang utar leñ tere
ham hī rakhte haiñ tujhe yaad ki sab rakhte haiñ
tu bhi dekhega zara rang utar len tere
hum hi rakhte hain tujhe yaad ki sab rakhte hain
saikḌoñ rangoñ kī bārish ho chukegī us ke baad
itr meñ bhīgī huī shāmoñ kā manzar aa.egā
saikDon rangon ki barish ho chukegi us ke baad
itr mein bhigi hui shamon ka manzar aaega
maiñ ne kuchh rang uchhāle the havāoñ meñ 'nabīl'
aur tasvīr tirī dhyān se bāhar aa.ī
main ne kuchh rang uchhaale the hawaon mein 'nabil'
aur taswir teri dhyan se bahar aai
-
Tag : Holi
vo kūdte uchhalte rangīn pairahan the
ma.asūm qahqahoñ meñ uḌtā gulāl dekhā
wo kudte uchhalte rangin pairahan the
masum qahqahon mein uDta gulal dekha
-
Tags : Festivaland 3 more
dasht-e-vafā meñ jal ke na rah jaa.eñ apne dil
vo dhuup hai ki rañg haiñ kaale paḌe hue
dasht-e-wafa mein jal ke na rah jaen apne dil
wo dhup hai ki rang hain kale paDe hue
-
Tags : Dhoopand 2 more
shab jo holī kī hai milne ko tire mukhḌe se jaan
chāñd aur taare liye phirte haiñ afshāñ haath meñ
shab jo holi ki hai milne ko tere mukhDe se jaan
chand aur tare liye phirte hain afshan hath mein
lab-e-dariyā pe dekh aa kar tamāshā aaj holī kā
bhañvar kaale ke daf baaje hai mauj ai yaar paanī meñ
lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka
bhanwar kale ke daf baje hai mauj ai yar pani mein
-
Tags : Festivaland 1 more
maiñ duur thā to apne hī chehre pe mal liyā
is zindagī ke haath meñ jitnā gulāl thā
main dur tha to apne hi chehre pe mal liya
is zindagi ke hath mein jitna gulal tha
kitnī rangīniyoñ meñ terī yaad
kis qadar sādgī se aatī hai
kitni ranginiyon mein teri yaad
kis qadar sadgi se aati hai
vo aa.e to rang sañvarne lagte haiñ
jaise bichhḌā yaar bhī koī mausam hai
wo aae to rang sanwarne lagte hain
jaise bichhDa yar bhi koi mausam hai
idhar bhī ik nazar ai jalva-e-rangīn-o-begāna
tulū-e-māh kā hai muntazir merā siyah-ḳhāna
idhar bhi ek nazar ai jalwa-e-rangin-o-begana
tulu-e-mah ka hai muntazir mera siyah-KHana
mere 'anāsir ḳhaak na hoñ bas rang baneñ
aur jangal sahrā dariyā par barse rang
mere 'anasir KHak na hon bas rang banen
aur jangal sahra dariya par barse rang
mausam ne khet-khet ugaa.ī hai fasl-e-zard
sarsoñ ke khet haiñ ke jo piile nahīñ rahe
mausam ne khet-khet ugai hai fasl-e-zard
sarson ke khet hain ke jo pile nahin rahe
kitnī be-rang zindagī hai mirī
'ishq ke rang yaar bhar do nā
kitni be-rang zindagi hai meri
'ishq ke rang yar bhar do na