justujū jis kī thī us ko to na paayā ham ne
is bahāne se magar dekh lī duniyā ham ne
justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne
is bahane se magar dekh li duniya hum ne
-
Tags : Duniyaand 1 more
jis taraf tū hai udhar hoñgī sabhī kī nazreñ
iid ke chāñd kā dīdār bahāna hī sahī
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren
id ke chand ka didar bahana hi sahi
bahāne aur bhī hote jo zindagī ke liye
ham ek baar tirī aarzū bhī kho dete
bahane aur bhi hote jo zindagi ke liye
hum ek bar teri aarzu bhi kho dete
-
Tags : Aarzooand 1 more
mirī zindagī to guzrī tire hijr ke sahāre
mirī maut ko bhī pyāre koī chāhiye bahāna
meri zindagi to guzri tere hijr ke sahaare
meri maut ko bhi pyare koi chahiye bahana
-
Tags : Hijrand 2 more
vo pūchhtā thā mirī aañkh bhīgne kā sabab
mujhe bahāna banānā bhī to nahīñ aayā
wo puchhta tha meri aankh bhigne ka sabab
mujhe bahana banana bhi to nahin aaya
yūñhī dil ne chāhā thā ronā-rulānā
tirī yaad to ban ga.ī ik bahānā
yunhi dil ne chaha tha rona-rulana
teri yaad to ban gai ek bahana
hameñ to ḳhair bikharnā hī thā kabhī na kabhī
havā-e-tāza kā jhoñkā bahāna ho gayā hai
hamein to KHair bikharna hi tha kabhi na kabhi
hawa-e-taza ka jhonka bahana ho gaya hai
bahāna DhūñDte rahte haiñ koī rone kā
hameñ ye shauq hai kyā āstīñ bhigone kā
bahana DhunDte rahte hain koi rone ka
hamein ye shauq hai kya aastin bhigone ka
tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñ
tujhe har bahāne se ham dekhte haiñ
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
tujhe har bahane se hum dekhte hain
-
Tag : Tasawwuf
talāsh ek bahāna thā ḳhaak uḌāne kā
pata chalā ki hameñ justujū-e-yār na thī
talash ek bahana tha KHak uDane ka
pata chala ki hamein justuju-e-yar na thi
shā.irī jhuuT sahī ishq fasāna hī sahī
zinda rahne ke liye koī bahāna hī sahī
shairi jhuT sahi ishq fasana hi sahi
zinda rahne ke liye koi bahana hi sahi
satāyā aaj munāsib jagah pe bārish ne
isī bahāne Thahar jaa.eñ us kā ghar hai yahāñ
sataya aaj munasib jagah pe barish ne
isi bahane Thahar jaen us ka ghar hai yahan
kisī ke ek ishāre meñ kis ko kyā na milā
bashar ko ziist milī maut ko bahāna milā
kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila
bashar ko zist mili maut ko bahana mila
-
Tag : Maut
pas-e-ġhubār bhī uḌtā ġhubār apnā thā
tire bahāne hameñ intizār apnā thā
pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha
tere bahane hamein intizar apna tha
sach to ye hai phuul kā dil bhī chhalnī hai
hañstā chehra ek bahānā lagtā hai
sach to ye hai phul ka dil bhi chhalni hai
hansta chehra ek bahana lagta hai
kabhī kabhī arz-e-ġham kī ḳhātir ham ik bahānā bhī chāhte haiñ
jab āñsuoñ se bharī hoñ āñkheñ to muskurānā bhī chāhte haiñ
kabhi kabhi arz-e-gham ki KHatir hum ek bahana bhi chahte hain
jab aansuon se bhari hon aankhen to muskurana bhi chahte hain
junūñ kā koī fasāna to haath aane do
maiñ ro paḌūñgā bahāna to haath aane do
junun ka koi fasana to hath aane do
main ro paDunga bahana to hath aane do
ḳhamoshī merī lai meñ gungunānā chāhtī hai
kisī se baat karne kā bahānā chāhtī hai
KHamoshi meri lai mein gungunana chahti hai
kisi se baat karne ka bahana chahti hai
kisī ke jaur-o-sitam kā to ik bahānā thā
hamāre dil ko bahar-hāl TuuT jaanā thā
kisi ke jaur-o-sitam ka to ek bahana tha
hamare dil ko bahar-haal TuT jaana tha
uThāyā us ne biiḌā qatl kā kuchh dil meñ Thānā hai
chabānā paan kā bhī ḳhuuñ bahāne kā bahāna hai
uThaya us ne biDa qatl ka kuchh dil mein Thana hai
chabana pan ka bhi KHun bahane ka bahana hai
vo be-ḳhudī thī mohabbat kī be-ruḳhī to na thī
pe us ko tark-e-ta.alluq ko ik bahāna huā
wo be-KHudi thi mohabbat ki be-ruKHi to na thi
pe us ko tark-e-talluq ko ek bahana hua
-
Tag : Bekhudi
ik-ādh baar to jaañ vārnī hī paḌtī hai
mohabbateñ hoñ to bantā nahīñ bahāna koī
ik-adh bar to jaan warni hi paDti hai
mohabbaten hon to banta nahin bahana koi
ab kisī aur taraf baat ghumāne vaale
maiñ samajhtī huuñ tirī baat kā matlab samjhe
ab kisi aur taraf baat ghumane wale
main samajhti hun teri baat ka matlab samjhe
koī sadā koī āvāza-e-jaras hī sahī
koī bahāna ki ham jaañ nisār karte raheñ
koi sada koi aawaza-e-jaras hi sahi
koi bahana ki hum jaan nisar karte rahen
qāsid ko us ne jaate hī ruḳhsat kiyā thā lek
bad-zāt māñdgī ke bahāne se rah gayā
qasid ko us ne jate hi ruKHsat kiya tha lek
bad-zat mandgi ke bahane se rah gaya