Obaidullah Aleem
Ghazal 49
Nazm 16
Sher-o-Shayari 48
aziiz itnā hī rakkho ki jī sambhal jaa.e
ab is qadar bhī na chāho ki dam nikal jaa.e
aziz itna hi rakkho ki ji sambhal jae
ab is qadar bhi na chaho ki dam nikal jae
-
Share this
- See Ghazal
ḳhvāb hī ḳhvāb kab talak dekhūñ
kaash tujh ko bhī ik jhalak dekhūñ
KHwab hi KHwab kab talak dekhun
kash tujh ko bhi ek jhalak dekhun
-
Share this
- See Ghazal
duā karo ki maiñ us ke liye duā ho jā.ūñ
vo ek shaḳhs jo dil ko duā sā lagtā hai
dua karo ki main us ke liye dua ho jaun
wo ek shaKHs jo dil ko dua sa lagta hai
-
Share this
- See Ghazal
havā ke dosh pe rakkhe hue charāġh haiñ ham
jo bujh ga.e to havā se shikāyateñ kaisī
hawa ke dosh pe rakkhe hue charagh hain hum
jo bujh gae to hawa se shikayaten kaisi
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 5
Image Shayari 25
laakho.n shaklo.n ke mele me.n tanhaa rahnaa meraa kaam bhes badal kar dekhte rahnaa tez havaa.o.n kaa kohraam ek taraf aavaaz kaa suuraj ek taraf ik guu.ngii shaam ek taraf jismo.n kii KHushbuu ek taraf us kaa anjaam ban gayaa qaatil mere liye to apnii hii nazro.n kaa daam sab se ba.Daa hai naam KHudaa kaa us ke baad hai meraa naam