Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Razi Akhtar Shauq's Photo'

Razi Akhtar Shauq

1933 - 1999 | Karachi, Pakistan

Sher of Razi Akhtar Shauq

aap aap diye bujhte chale jaate haiñ

aur aaseb dikhā.ī bhī nahīñ detā hai

aap hi aap diye bujhte chale jate hain

aur aaseb dikhai bhi nahin deta hai

mujh ko paanā hai to phir mujh meñ utar kar dekho

yuuñ kināre se samundar nahīñ dekhā jaatā

mujh ko pana hai to phir mujh mein utar kar dekho

yun kinare se samundar nahin dekha jata

ham rūh-e-safar haiñ hameñ nāmoñ se na pahchān

kal aur kisī naam se aa jā.eñge ham log

hum ruh-e-safar hain hamein namon se na pahchan

kal aur kisi nam se aa jaenge hum log

do bādal aapas meñ mile the phir aisī barsāt huī

jism ne jism se sargoshī ruuh ruuh se baat huī

do baadal aapas mein mile the phir aisi barsat hui

jism ne jism se sargoshi ki ruh ki ruh se baat hui

ham itne pareshāñ the ki hāl-e-dil-e-sozāñ

un ko bhī sunāyā ki jo ġham-ḳhvār nahīñ the

hum itne pareshan the ki haal-e-dil-e-sozan

un ko bhi sunaya ki jo gham-KHwar nahin the

ab kaise charāġh kyā charāġhāñ

jab saarā vajūd jal rahā hai

ab kaise charagh kya charaghan

jab sara wajud jal raha hai

Recitation

Speak Now